Pakistani singer Natasha Baig ne bataya ke unhein Bollywood film ‘Tiger Zinda Hai’ mein gane ka moka mila tha. Unhon ne bataya ke sari tayyari ho chuki thi, lekin Pak-Bharat halat kharab hone aur tension barhne ki wajah se yeh kaam na ho saka. Yeh unhein mili wahid Bollywood offer thi.