Mashhoor YouTuber Rajab Butt ki behan Ghazal Jawad ne haal hi mein apne bhatijay Kivan Sultan ke liye jazbaati paigham share kiya hai. Interview ke doran rote hue unhon ne kaha ke yeh unke bhai ke liye bohot mushkil waqt hai. Ghazal ne un logon ko bhi jawab diya jo Rajab par bacho mein farq karne ka ilzaam lagatay hain.