Border 2 ke trailer ke baad trolling ka saamna kar rahe Varun Dhawan ne critics ko short aur clear message diya hai. Varun ne kaha ke woh noise ignore karte hain aur apne kaam ko bolne dete hain. Unhon ne kaha, “Main jis cheez ke liye kaam karta hoon, woh Friday ko pata chalega,” aur film par poora bharosa jataya.