Faysal Quraishi ne Ramadan transmission ke doran mazahiya andaaz mein showbiz stars ko shadiyan rokne ka mashwara de diya. Guest Momina Iqbal se baat karte hue unhon ne kaha ke lagataar celebrity weddings ki wajah se gifts par lakhon rupay kharch ho jate hain, jis par unhon ne hans kar tanqeed ki.