Adakaara Farhana Maqsood ne Humayun Saeed par “scam” karne ka ilzaam laga diya. Farhana ka dawa hai ke film ‘Main Hoon Shahid Afridi’ ke liye unhein galat briefing di gayi aur telefilm bol kar feature film mein kaam karwaya gaya. Unhon ne bataya ke unhein na cast mein shamil kiya gaya aur na hi kisi promotional event ya premiere par bulaya gaya.