Farhan Saeed naye drama “Bas Tera Saath Ho” mein aik mazloom kirdar nibha rahe hain, jise dekh kar fans unhen “Male Hala” keh rahe hain. Teasers mein unhen ghar ke kaam karte aur phate hue kapron mein dekh kar logon ko “Mere Humsafar” ki Hala yaad aa gayi. Sarifeen ka kehna hai ke is baar Farhan khud “Cinderella” ban gaye hain.