Adakara Hira Mani ne drama ‘Shar Pasand’ ke ikhtitam par dilchasp tabsara kiya hai. Unhon ne kaha ke Farasat Ali Khan (Nauman Ijaz) ki fitrat kabhi nahi badalti, wo bas ab kisi naye mahallay mein apni sharartain jari rakhen ge. Fans ab Nauman Ijaz ki shandaar acting ki wajah se drama ke dusre season ka mutalba kar rahe hain.