Adakara Hira Khan ne Saba Qamar ki birthday party par tanqeed karne walay Dr. Ejaz Waris ki class le li. Hira ne kaha ke Actors “public property” nahi hotay aur unki personal life unka apna mamla hai. Unhon ne mazeed kaha ke kisi ke libas ya party karne par unhen nishana banana band kiya jaye aur ikhtilaf hamesha tameez se hona chahiye.