Amna Youzasaif ne apni baat pakki ki tasveerain share karke fans ko surprise kar diya۔ Actress ne bataya ke unhe apni zindagi ka pyaar mil gaya hai aur ghar walon ke beech unka yeh khaas din manaaya gaya۔ Amna ne pink outfit pehna، groom ka chehra reveal nahi kiya magar unki khushi aur glow ne social media par dhoom macha di.