Fahad Mustafa ne Atiqa Odho ke mashwaray par tanziya jawab de kar naya tanaza khara kar diya. Atiqa ne Hasna Mana Hai mein kaha tha ke Fahad ko apni age ki actresses ke saath kaam karna chahiye. Jawaban, Fahad ne Jeeto Pakistan mein “Atiqa Aapa” keh kar surgeries ka mashwara diya, jis par social media ne unhein ageist qarar diya.