Mashhoor actor Emmad Irfani aur unki biwi Maryam ne apne late bete Zaviyar Emmad ko ek khubsurat tareeqay se yaad kiya. Dono SOS Village gaye jahan bachon ke saath Zaviyar ki birthday cake cutting ki. Unhon ne apna gham insaniyat aur khushi mein badal kar ek misaal qaim ki.