Emaan ne apne bete Kivan Sultan ki 6-month birthday par aik pur-asar video share ki. Apni post mein unhon ne apni mushkil pregnancy aur akelepan ke safar ka zikr karte hue bete ko apni “taqat” aur “mojza” qarar diya. Fans Emaan ki himmat ki tareef kar rahe hain aur unke bete ki sehat aur lambi zindagi ke liye duain de rahe hain.