Pakistani YouTuber Ducky Bhai ne jail mein qaid aik buzurg shakhs ka bank loan ada karke apna wada poora kar diya hai. Unhon ne bataya ke 2023 ka 3 lakh rupaye ka qarza sood aur charges ki wajah se 2026 tak taqreeban 10 lakh ho chuka tha, jise ada karke unhon ne buzurg ko riha karwaya.