Pakistani adakara Saba Qamar ka Dubai pahunchne par shandaar istiqbal kiya gaya. Indian adakara Rakhi Sawant ne specially unse mulaqaat ki aur unka khair makhdam kiya. Dono ki yeh mulaqaat aur khushgawar tasaveer internet par tezi se viral ho rahi hain aur fans dono ko aik saath dekh kar kafi dilchasp tabsire kar rahe hain.