Geo TV ke drama serial ‘Shaidai’ ki kahani aur kirdar ‘Miraal’ ko shaqeed tanqeed ka samna hai. Viewers ka kehna hai ke drame ki kahani ko bilawaja lamba kiya ja raha hai aur Miraal ka bewakoofana rawayya show ko bezaar ba-na raha hai. Nazreen ne kirdar nigari aur dry reaction par bhi narazgi ka izhaar kiya hai.