Adakar Talha Chahour ne mashhoor drama ‘Rutba’ mein apne kirdar ‘Hadi’ ke baaray mein hairan kun inkishafat kiye hain. Talha ne bataya ke drame ki kahani haqeeqi zindagi par mabni hai aur Hadi ka kirdar koi hero ya villain nahi balkay aik aam insan ki tarah zati khamiyon se bhara hua hai.