Maroof adakaara Sanam Saeed ne drama Dar-e-Nijat me Dur-e-Fishan Saleem ki acting aur accent par hone wali tanqeed ke khilaaf unki himayat ki hai. Sanam ne social media par kisi ki zaatiat aur bolnay ke tarike par tanqeed ko afsosnaak qaraar diya. Is par bhi fans ke mukhtalif rad-e-amal samne aaye hain.