Senior adakaara Shagufta Ejaz ne logon ko doosron ki zindagiyon mein mudakhalat Karne se mana kia aur Unhon ne bataya ke doosron ke zaati mamlat jaise shadi, talaq ke baare mein fuzool sawalaat poochna aur character assassination karna gunah hai. Shagufta ke mutabiq logon ko sirf apni zindagi par dhyan dena chahiye.