Pakistan ki famous Adakara Hina Afridi ne apni roohani zindagi aur ibadat ki routine par baat karte hue bataya ke wo din mein 8 se 9 namazien parhti thi. Unhon ne bataya ke farz namazon ke sath Ishraq, Chasht, Awwabin aur Tahajjud ka ehtimam unki zindagi ka aik ahem hissa raha hai.