Pakistan ke famous comedian Tabish Hashmi Geo Entertainment ke naye crime thriller drama ‘Case No. 10’ mein Saba Qamar ke sath adakari karte nazar aayeinge. Shahzeb Khanzada ki likhi hui is kahani mein Saba Qamar lead role mein hain, jabke drame ki kahani aik haqeeqi crime event par mabni batayi ja rahi hai.