Veteran star bushra ansari ne apni pehli shadi ke baad susral mein eid ka talkh tajurba share kiya. Unhon ne bataya ke unka susral nihayat khushk mizaaj tha jahan eid par aik dosre ko gale lagane ka riwaj bhi nahi tha. Bushra ke mutabiq unki zinda-dili ko wahan dabaya gaya aur aik mazaaq karne par unhein sakht danta bhi gaya.