Bilal Abbas Khan aur Durefishan Saleem apni shadi ki afwahon ki wajah se social media par aik baar phir trend kar rahe hain. Dono adakaron ki on-screen chemistry maddahon mein behad pasand ki jati hai. Dono sitaron ne ab tak in afwahon par mukammal khamoshi ikhtiyar ki hui hai, jis se logon ka taajub mazeed barh gaya hai.