Adakara Sarah Khan ne Nida Yasir ke show mein apne future bete ki parwarish aur bari family ki khwahish par baat ki. Sarah ne bataya ke unhon ne betiyon ko bohot laad pyar se pala hai, lekin woh apne bete ki parwarish alag tarah se karein gi taake woh zyaada pamper na ho.