Actor Imran Hashmi ne yaad kiya ke 2014 mein betay Ayaan ko cancer diagnose honay ki khabar ne unki zindagi badal kar rakh di. Unka kehna hai ke is mushkil daur ne unhein career se zyada ek baap ki zimmedari ka ehsaas dilaya. Yeh waqt unki zindagi ka sab se dardnaak lamha tha.