Mashhoor Pakistani singer aur adakara Hadiqa Kiani ko BBC ne dunya ki “100 Most Inspiring Women” ki fehrist mein shamil kiya hai. Hadiqa Kiani ko unki shandaar mosiqi aur samaaji kaamon khususan khairati sargarmiyon ki wajah se is azeem azaaz se nawaza gaya hai, jis par poori qaum unhein mubarakbaad de rahi hai.