Senior adakara Atiqa Odho ne drama serial ‘Dar-e-Nijaat’ mein Durefishan Saleem ki adakari aur unki sadgi ki bharpor tareef ki hai. Unhon ne kaha ke Durefishan baghair makeup, lipstick aur mehnge kapron ke bhi screen par be-had khubsurat lag rahi hain aur unhon ne apne kirdar ko behtareen andaz mein nibhaya hai.