Shah Rukh Khan ne apni 60th salgirah ke mauqe par kaha ke wo apne bachon Suhana aur Aryan ko career par mashwara nahi dete. Unka kehna tha, “Takhleeqi logon ko samjhanay ki zaroorat nahi hoti.” Shah Rukh ne bataya ke Aryan direction aur Suhana acting kar rahi hai, aur jab zaroorat hoti hai to wo sirf raye dete hain, dabao nahi.