Maroof adakara Sajal Aly ne drama ‘Zanjeerain’ ke khatam hone ke baad apne baal katwane ke baare mein fans se mashwara manga hai. Unhon ne poochha ke kya unhein naya haircut lena chahiye ya nahi. Fans social media par dilchasp mashware de rahe hain aur un ki post viral ho rahi hai.