Sadia Imam Ka Kafeel Ke Disastrous Camera Work Par Tanqeed

Sadia Imam ne show Kya Drama Hai ke aik recent episode mein drama Kafeel ke camera work par sakht tanqeed ki. Unka kehna tha ke director Meesam Naqvi ka camera be-wajah hiltay rehna technical ghalti hai, jo viewers ko disturb karta hai. Fans bhi unki baat se ittefaq kar rahe hain.

Mishi Khan Ka Dr Nabiha Ali Khan Ko Mashwara

Mishi Khan ne Instagram par Dr Nabiha Ali Khan ke Ramadan show par apni advice di. Unka kehna tha ke apne marital issues ko TV par discuss karna theek nahi, balke ye baatein ghar mein hal honi chahiye. Mishi ne host aur show ki responsibility bhi highlight ki aur respect aur ehtiyaat ki talqeen ki.

Iqbal Hussain Ke Aunty Lover Statement Ke Hawalay Par Sakht Tanqeed

Pakistani actor aur director Iqbal Hussain ka buzurg khawateen se mutaliq aik bayan social media par sakht tanqeed ki wajah ban gaya hai. Nida Yasir ke Ramzan show mein unke jumlay ko ghair munasib qarar diya ja raha hai. Users ne bayan ko bay-zouq aur Ramzan ke moqa par ghair zaroori kaha.

Atiqa Odho Ne Ali Raza Ka Comparison Rahat Kazmi Se Kar Diya

Senior actress Atiqa Odho ne young actor Ali Raza ko legendary actor Rahat Kazmi se compare kar diya. Shan-e-Suhoor show mein guftagu ke doran Atiqa ne kaha ke Ali Raza ka style aur dressing Rahat Kazmi se milta hai aur woh un jaisay kirdar imandari se nibha sakte hai.

Rajab Butt Ki Family Par Child Labour Ka Ilzaam

Mashhoor YouTuber Rajab Butt ki family aik dafa phir controversy mein aa gayi hai. Social media par viral video mein Rajab Butt ki walida ke saath 9 saal ka bacha ghar ka kaam karta nazar aaya. Pakistan mein child labour qanoonan jurm hai, jiske baad internet par sakht tanqeed shuru ho gayi hai.

Hira Mani Ka Hopeless Logon Ke Liye Spiritual Message

Mashhoor actress Hira Mani ne mayoos logon ke liye aik roohani aur positive paighaam diya hai. Unka kehna tha ke jab zindagi mein koi darwaza band hota hai to Allah kai aur darwazay khol deta hai. Unhon ne sab ko sabr, yaqeen aur umeed qaim rakhne ka mashwara diya, jis par fans ne unhein khoob saraha.

Saba Qamar Ne Muamma Ke Set Par Pesh Aane Wala Khaufnaak Waqia Share Kiya

Mashhoor actress Saba Qamar ne drama Muamma ke set par pesh aane wala aik khaufnaak waqia share kiya. Unhon ne bataya ke unke makeup artist ko wudu ke doran kisi ghaibi cheez ne thappar mara. Saba ne kaha ke woh supernatural cheezon par yaqeen rakhti hain, lekin unhein insaan sab se zyada khatarnaak lagta hai.