“Hum Sirf Ache Dost Hain, YouTubers Salami Bhejein”: Apni Shadi Ki Jhooti Khabron Par Tauseeq Haider Aur Farah Sadia Ka Tanzia Jawab Viral

Tauseeq Haider aur Farah Sadia ne social media par apni shadi ke hawale se chalne wali jhooti khabron ki tardeed ki hai. Unhon ne YouTubers par tanz karte hue kaha ke wo unke zariye paise kama rahe hain, lihaza unhein salami bhejein. Dono ne wazahat ki ke wo sirf ache dost hain.
“Kya Unhon Ne Inki TikToks Nahi Dekhin?”: Fiza Ali Ko British Parliament Se Award Milne Par Khushi Ke Saath Social Media Par Awam Ka Hairat Aur Tanqeed Ka Izhaar

Fiza Ali ko British Parliament me “Public Voice For Women’s Respect & Responsible Media” ke award se nawaza gaya hai. Is mauqe par unke shohar aur beti bhi sath thay. Halankay, social media users unki funny reels ka hawala dete hue is award par hairat aur tanqeed ka izhaar kar rahe hain.
“Larkiyan Mujhe Pasand Nahi Karti, Lekin Ammiyan Bohat Pyaar Karti Hain, Isliye Nahi Ke Main Divorced Hoon, Balke Is Liye Ke Maine Unke Huqooq Ki Baat Ki”: Rajab Butt

Rajab Butt ne dawa kiya hai ke larkiyan unhein pasand nahi kartin, jabke ammiyan unse bahut pyar karti hain. Unhon ne wazahat ki ke iski wajah unka divorce shuda hona nahi, balki maaoon ke huqooq ke bare mein baat karna hai, jis par social media par mukhtalif rad-e-amal samne aaye hain.
“Unhon Ne Apni Begum Aur Nanny Ke Tickets Maange”: Senior Producer Kazim Pasha Ka Adakaar Adnan Siddiqui Ke Nakhron Aur Mutalbat Par Bara Inkishaaf

Maroof host Nida Yasir ke waalid aur PTV ke senior producer Kazim Pasha ne adakaar Adnan Siddiqui ko aik ‘difficult actor’ qarar diya hai. Unhon ne bataya ke aik shoot ke doran Adnan Siddiqui ne apni begum, bachon aur nanny ke tickets ke mutalbat se unhein itna tang kiya ke unhon ne project hi chhor diya.
‘1992 Ke Baad Pehla Safar’: Morning Show Host Nida Yasir Ka Behnon Ke Sath Nathia Gali Ka Khoobsoorat ‘Girls Trip’ Tawajah Ka Markaz Ban Gaya

Morning show host Nida Yasir apni behnon ke sath Nathia Gali me ‘girls trip’ ka lutf utha rahi hain. Unhon ne bataya ke unho ne akhri baar 1992 me behnon ke sath aesa trip kiya tha. Nida ne is khoobsoorat safar ki khushgawar tasaveer social media par share ki hain.
“Mera Pesha Mere Apno Ke Liye Saza Ban Gaya”: Waalid Ki Wafat Par Hospital Staff Ki Ghaflat Aur Shohrat Ke Dark Side Par Momina Iqbal Aur Unki Behen Ka Khulasa

Adakaara Momina Iqbal ki behen Rimsha ne unki shohrat ka inkshaf karte hue bataya ke unke waalid ke intiqal ke waqt hospital staff ne unhein mareez ke bajaye star samajh kar tawajah di, jis se medical treatment neglect hui. Momina ne afsos jataya ke unka pesha unke apno ke liye saza ban gaya.
“Dananeer Mobeen Ke Saath Kaam Karne Ki Khwaahish”: Social Media Personality Haider Shah Ki Viral Video Ne Fans Ka Josh Barha Diya

Social media personality Haider Shah ne inkshaf kiya hai ke Dananeer Mobeen unki sab se pasandeeda celebrity hain jin ke sath wo kaam karna chahte hain. Unhon ne Dananeer ka mashhoor ‘Pawri Ho Rahi Hai’ catchphrase bhi istemal kiya, jis se fans ke darmiyan kafi josh-o-khrush paida ho gaya hai.
“Yeh Meri Ammi Ka Gift Hai”: Drama ‘Aik Aur Mohabbat’ Mein Viral Saari Ke Peeche Chhupe Jazbaati Rishtay Par Maya Ali Ka Inkishaaf

Pakistan ki maroof Adakara Maya Ali ne drama Aik Aur Mohabbat me pehni gayi viral sunehri saari ke sath apna jazbati taaluq bataya hai. Unhon ne inkshaf kiya ke ye saari unki apni walida ne unhein gift me di thi, jis ki wajah se ye libas unke liye intehai khaas hai.
“Hamari Pyari Media Ko Kuch Aur Nahi Mila”: Instagram Posts Unarchive Karne Par Singer Asim Azhar Ka Media Ke Liye Tanzia Bayan

Singer Asim Azhar ne Instagram posts unarchive karne par media ko tanz ka nishana banate hue kaha ke ‘hamari pyari media ko kuch aur nahin mila’. Aik post viral hone par account archive karne ke baad unhon ne fans se guzarish ki ke wo media ki tawajjo unki baqi 600 posts ki taraf karwein.
“Main Janti Hoon Ke Mujhe Underrated Samjha Jaata Hai”: Apne Mukhtalif Kirdaron Aur Shohrat Par Adakaara Kinza Hashmi Ka Khulasa

Adakaara Kinza Hashmi ne aik interview me bataya ke wo kai baar khud ko ‘underrated’ mehsoos karti hain. Unhon ne Dil Awaiz, Shirin Farhad aur Khushboo Main Basay Khat jese mukhtalif dramon ki misaal di. Unhon ne kaha ke wo is baat par udaas nahi hain kyun ke log unki salahiyat se waqif hain.