WhatsApp Ka Naya Group Status Feature Test Mein Hai

WhatsApp ka naya feature test ho raha hai jisme users ab group chats ke andar status update share kar sakte hain. Ye status sirf usi group ke members ko nazar aayega aur 24 ghantay baad khatam ho jayega. Feature abhi Android beta version 2.25.22.11 mein hai. Status end-to-end encrypted hai aur kuch users ko milna shuru ho gaya hai.

Google Epic Games Case Haar Gaya, Android Monopoly Illegal Qarar

Google Epic Games se Android app monopoly case haar gaya! US court ne faisla diya ke Google ne unfair tareeqe se Android apps aur payments par apna control rakha. Court ne Google ko hukum diya ke wo rival app stores allow kare. Epic ne kaha ke Android market bohat arse se Google ke control mein daba hua tha.

August Mein Sturgeon Moon, Jupiter Venus Nazdeek, Meteor Shower Hoga

August mein teen zabardast asmani events dekhnay ko milenge! 9 August ko Sturgeon Full Moon hoga, 12 August ko subah Jupiter aur Venus eik doosre ke qareeb nazar aayenge, aur 11-12 August ki raat Perseid meteor shower apne peak par hoga, jisme 100 meteors per hour tak dekhe ja sakte hain. Nasa ne clear sky aur subah jaldi uthne ka mashwara diya hai.

Dar aur Rubio Ki Call, Pak-US Taluqaat Mazeed Qareeb

Ishaq Dar aur US Secretary Marco Rubio ki doosri call, Pak-US diplomatic ties mein tez behtri ka saboot. Dono ne trade, regional peace aur mutual cooperation par baat ki. Tariff aur oil deal finalize, Trump ne Pakistan ke sath oil development ka elan kiya. US ne Pakistan ki anti-terror efforts aur regional role ko bhi appreciate kiya.

Pakistan Se Iran, Gulf Ferry Service Ki Manzoori Mil Gayi

Pakistan ne Iran aur Gulf ke liye ferry service licence approve kar diya! Service Karachi aur Gwadar se start hogi, jo safar ko sasta, safe aur comfortable banayegi. Maritime Minister ne kaha ye initiative blue economy, trade aur tourism ko boost karega. Gwadar ko regional trade hub banane aur connectivity barhane ka bhi plan hai.

German Visa Service Karachi Mein Dobara Shuru, Pakistanis Ke Liye

German Consulate Karachi ne Pakistani applicants ke liye visa services 5 August se dobara shuru kar di hain. Pehle security concerns ki wajah se service temporarily band thi. Ab work, study aur family visit visas normal tor par milenge. Jinki appointments cancel hui thi, unhein dobara register karna hoga. Consulate ne sabar aur taawun par shukriya ada kiya.

Mardan Mein Teenage Larki, Harasment Case, 4 Giraftar

Mardan mein teenage larki ke sath dance party mein harasment ke video viral hone par KP CM ke hukum par 4 log giraftar, jin mein nani aur qaareebi rishtedaar bhi shaamil hain jo larki ko paisay ke liye private events mein bhejte tha. Police ne case register kar liya, aur further investigation jari hai.

Karachi Mein Firing, 2 Halaak, Target Killing Ka Shuba

Karachi, Gulistan-e-Johar ke Pehlwan Goth mein battery shop par firing se 2 afraad halaak, 3 zakhmi. Hamla motorcyclists ne kiya, forensic saboot akatha kiye gaye. Eik halaak shuda imam masjid ka beta tha, tamam afraad Ahle Tashi aur Gilgit-Baltistan se taluq rakhte tha. Mazhabi tanzeem ke rehnumaon ne ise target killing qarar dekar mulzimon ki foran giraftari ka mutalba kiya.

US Tourist Visa Par $15,000 Bond Zaroori Ho Sakta Hai

20 August se US mein naye visa rules ka aaghaz hoga jisme kuch countries ke tourist aur business visa applicants se $5,000 se $15,000 tak ka bond liya ja sakta hai. Yeh rule un logon par hoga jo visa overstay karte hain ya jinki countries ki screening kamzor hai. Maqsad illegal immigration control karna hai.

Pakistan Mein National Artificial Intelligence Fund Qaim Karne Ka Faisla

Hukoomat ne National Artificial Intelligence Fund (NAIF) banane ka faisla kar liya. Ignite ka 30% R&D fund AI projects ke liye allocate hoga. Islamabad, Lahore aur Karachi mein AI Centers of Excellence banenge. Har saal 200,000 logon ki AI training, internships, aur Innovation/Venture Funds shamil hain. 1 million AI professionals ka target 2030 tak rakha gaya hai.