GTA 6 Mein Fan’s Favourite Lazlow Jones Ki Wapsi Mumkin Nahi

GTA 6 ke release 26 May 2026 ko hogi, Rockstar ne Jason aur Lucia ko main characters confirm kiya hai. Lekin fan-favourite Lazlow Jones, jo GTA 3 se 5 tak nazar aaya tha, shayad wapas na aaye kyunke usne 2020 mein Rockstar chhod diya. Take-Two CEO ne clear kiya ke GTA 6 unki top priority hai.
Babrik Shah Ka Bold Statement, Imran Abbas Ke Looks Feminine Lagte Hein

Former actor Babrik Shah ne Imran Abbas par bold bayan diya ke “wo mard nahi lagte, feminine vibes dete hain.” Bayan viral hone ke baad eik podcast mein unho ne wazahat di. Babrik ne kaha, “Mera matlab tha ke Imran film hero figure nahi lagte, halan kay wo ache insaan hain.” Bayan par fans ki garam discussions chal rahi hain.
Japan Mein Islam Fastest Grow Hone Wala Religion Bangaya, Wajah Bhi Samne Agayi

Japan mein Islam sabse fast grow karne wala religion ban chuka hai. Pichle 10 saalon mein Muslim population double hoke 2 lakh 30 hazaar hogayi, aur 110 se zyada mosques ban gayi. Is growth ka reason immigration, conversions aur halal restaurants, prayer spaces jaisa Muslim-friendly facilities hain jo tezi se Islam ko barha rahi hain.
Maryam Nawaz Ki Official X Post A.U.R.A Caption Ke Sath Viral

Punjab CM Maryam Nawaz ne ghalti se apni official X (Twitter) account par eik personal post daal di. Post mein unki tasveer aur caption “A.U.R.A” tha. Thodi dair baad unho ne post delete kardi, magar screenshots viral hogaye. Social media par ye ghalti foran breaking news ban gayi aur logon ne zyada discuss kiya.
Karachi Ke Gutter Se 15 Saal Ke Bacha Ki 3 Din Porani Lash Mili

Karachi ke Sultanabad mein gutter se 15 saal ke Abu Bakr ki 3 din purani laash mili, post-mortem ke liye hospital bheji gayi. Gulistan-e-Johar mein 3 saal ki bachi pani ke gaddhe mein gir kar halak hogayi. Gulshan-e-Maymar Afghan Camp ke jhagre mein 4 auratein aur 1 aadmi zakhmi hua, unhe hospital muntaqil kiya gaya.
Samiya Jafari Par Attack, Jaan Se Marne Ki Dhamkiya, Stalker Hassan CCTV Mein Record

Social media influencer Samiya Jafari apne ghar par attack ka shikar hui. Hassan, jo 3-4 mahina se unhe stalk kar raha tha aur jaan se maarne ki dhamkiyan de raha tha, usne samiya ka mobile cheen kar car mein zabardasti le jaane ki koshish ki, jo CCTV mein record hua. Samia ne police se madad mangi aur Hassan ke arrest ki demand ki.
President Ne NFC Tabdeeli Aur IMF Demands Approve Kardi

President Asif Ali Zardari ne 11th NFC Commission mein tabdeeli approve kardi, Balochistan ne Mahfooz Ali Khan ko naya member nominate kiya. Sath hi Criminal Laws Amendment Bill 2025 bhi sign. Sources ke mutabiq IMF ke pressure par NFC Award formula revise hoga, provinces ka 57.5% share kam aur naya system poverty, tax aur revenue pe base hoga.
Maya Ali Ne Ab Tak Shaadi Na Karne Ki Wajah Bata Di

Actress Maya Ali ne podcast mein shaadi par khuli baat ki, keh diya ke wo sirf logon ke pressure ya age ki wajah se shaadi nahi karein gi. Unka kehna hai shaadi eik bara faisla hai jo genuine connection aur respect pe depend karta hai. Maya ne kaha, “Jab dil ready hoga aur waqt hoga, tab hi shaadi hogi.”
Ducky Bhai Ne Remand Ke Khilaaf Appeal File Kardi

YouTuber Ducky Bhai ne apne 4 din ke physical remand ke khilaaf sessions court mein appeal file kardi. Court ne NCCIA se 1 September tak jawab talab kar liya. Pehle unka 5 din ka remand gambling app promotion case mein extend hua tha. Wife Aroob Jatoi ko 30 August tak interim bail mil gayi.
NCCIA Ne Iqra Kanwal Ko Gambling Case Mein Bulaya

NCCIA ne YouTuber Iqra Kanwal, Mudassir Hassan, Hasnain Shah aur Anas Ali ko 2 September ko hazir hone ka hukum diya, ilzaam hai ke unhon ne online trading aur gambling apps promote ki. Pehle YouTuber Ducky Bhai isi case mein giraftar ho chuke hain, jahan unke paas se digital data aur illegal financial transactions ke saboot mile hain.