IHC Ne Full Court Be Practice Aur Procedure Rules Approve Kiye

IHC full court meeting mein Practice aur Procedure Rules aur establishment rules majority votes se approve ho gaye. CJ Sarfaraz Dogar aur kuch judges ne support kiya, jabke Justice Babar Sattar, Justice Mohsin Kiyani aur dusre judges ne oppose karte hua transparency aur judicial independence par concerns uthaye. Rules ke bawajood objections reject hui, building issues federal govt ko bhejne ka faisla.
Sahir Lodhi Raat Ke 2-3 Baje Malir Ke Qabristan Kyu Jaate Hain

Pakistani anchor, actor aur businessman raat ke 2-3 baje Malir, Karachi ke qabristan mein ja kar sukoon mehsoos karte hain. Unka qareebi dost, jisse wo 30 saal se jaante tha, guzar chuka hai, aur wo ab unki qabar par jate hain. Wo kehte hain ke zinda log hi nuqsan pohcha sakte hain.
Sindh Mein 5 Aur 6 September Ki Chhutti Announce

Sindh govt ne Eid Milad-un-Nabi (SAW) ke 1500 saal ki celebrations par 5 aur 6 September (Jumma, Hafta) ki chhutti announce kar di. Sub govt offices, schools, institutions band rahenge. 6 Sept ko Defence Day bhi saath manaaya jaye ga. Sirf flood, emergency aur essential services kaam karengi. Federal govt ne bhi 6 Sept ko chhutti di hai.
Karachi Mein Van Driver Ko Choti Larki Se Molestation Case Mein 14 Saal Qaid

Karachi court ne school van driver Owais Khan ko choti larki se molestation case mein 14 saal qaid aur 10 lakh rupay jurmana suna diya, na dene par 3 saal aur jail hogi. Case Taimuria Police Station mein register hua tha. Victim ne waqia waliden ko bataya, jinhon ne complain karke driver ko arrest karwaya.
Samiya Hijab Ne Hassan Zahid Se Rishte Ka Raaz Khola

Samiya Hijab ne apni nayi video mein Hassan Zahid se rishte ka raaz share kiya. Pehle unki Hassan se mangni hui thi, lekin asal haqeeqat jaan kar unhone rishte khatam kar diya. Samiya ne kaha ke breakup ke baad Hassan ne unka phone zabardasti liya, un par attack aur abduct karne ki koshish ki, acid attack aur maarne ki dhamkiyan bhi di.
NDMA Alert, Agle 48 Ghanton Mein Bhari Barish, Flood Risk High

NDMA ne agle 24–48 ghanton mein mulk ke utri aur southern ilaqon mein bhari barish ka alert jari kar diya. Narowal, Sialkot, Gujranwala, Gujrat, Lahore, Badin, Sujawal aur Tharparkar mein zyada barish ka imkaan. Ravi, Chenab aur Sutlej ke flood streams 4–5 Sept ko Punjab par mil kar extreme high flood create kar sakta hain.
Lisbon Funicular Derail, 3 Halak, Kai Log Zakhmi

Lisbon ka mashhoor Gloria funicular derail ho gaya, jisme kam az kam 3 log halak aur kai zakhmi hua. Accident Liberty Avenue ke paas 6:15 pm ko hua, funicular high speed mein building se takra gaya. President aur mayor ne isay tragedy qarar diya. Firefighters aur medical staff ne site par rescue operations shuru kar diye.
Sania Saeed Ne Kaha Har Couple Bacche Deserve Nahi Karta

Sania Saeed ne kaha ke har couple bachon ke liye tayar nahi hota. Actress ne eik tv show mein bataya ke bohot se couples emotionally aur mentally strong nahi hote, is wajah se parenting mushkil ho sakti hai. Unhone young parents ke mental health issues aur postpartum depression par roshni daali aur parents ko responsibly faisla karne ki salah di.
Sir, Maine Ghalti Ki Samiya Hijab Ke Mulzim Ka Iqraar

TikToker Samiya Hijab ke alleged kidnapper Hassan Zahid. Courtroom mein unho ne confess kar liya ke usne TikToker Samiya Hijab ko kidnap kiya aur dhamkiyan di, judge ke saamne bola: “Sir, ghalti ho gayi.” Suspect ko 5 din ka police remand mil gaya, authorities us se weapon, cash aur gari recover kar rahi hain.
Medical Board Ne Imran Khan Ke Ear Dental Masail Report Kiye

PIMS medical board ne report jari karte hua bataya ke Imran Khan ki sehat overall theek hai, lekin unke ear aur dental sensitivity ke liye “supportive management” recommend ki gayi hai. January 2024 se specialist checkups chal rahe hain, aur October 2024 se August 2025 tak 15 se zyada tests ho chuke hain. Recent checkup Adiala Jail mein hua.