Pakistan Bhar Mein 1500th Eid Milad-un-Nabi (PBUH) Manai Ja Rahi Hai

Pakistan bhar mein aaj 1500th Eid Milad-un-Nabi (PBUH) bohot shiddat ke sath manai ja rahi hai. Islamabad mein 31-gun aur provincial capitals mein 21-gun salute diye gaye. Poore mulk mein mosques, roads aur homes lights aur banners se sajaye gaye. Jaloos aur mahafil-e-milad ho rahi hain. President aur PM ne Sunnah follow aur unity, justice aur peace ki appeal ki.
US Unemployment 4-Year High, Job Growth Slow

US mein August mein job growth bohat slow ho gaya aur unemployment rate 4.3% tak barh gaya, jo 4 saal ka highest hai. Nonfarm payrolls sirf 22,000 se barhe, healthcare aur social assistance mein kuch jobs barhi, lekin government aur manufacturing sectors mein losses rahe. Average wages 0.3% barhi, lekin hours worked kam hua. Fed rate cut ka chance barh gaya.
Punjab Aur Sindh Mein 6-9 September Heavy Rains Alert

PDMA aur Meteorological Department ne 6 se 9 September tak Punjab aur Sindh ke zyada tar areas mein tez toofani barishon ka alert jari kar diya. Rawalpindi, Murree, Lahore, Gujranwala, Hyderabad, Sukkur aur Tharparkar mein heavy rain ka khatra hai. Dera Ghazi Khan aur KP ke pahari areas mein flash flooding aur landslides ka bhi khatra hai.
New Karachi Se Hazaron Rupay Kamane Wala Bhikari Giraftar

Karachi ke New Karachi se eik bhikari pakda gaya jo rozana hazaron rupay kamata tha. DIG Traffic ke hukum par traffic section ne crackdown ke doran 9,410 rupaye baramad kiye, jo sirf eik din ki kamai thi. SHO Niaz Hussain ne bhikari ke khilaaf case register kar diya. Bhikari traffic ki rawani mein bhi rukawat dal raha tha.
Zaid Ali Ki Maa Ne Samiya Hijab Ko Sakht Alfazon Se Criticize Kiya

TikToker Samiya Hijab ka harassment aur abuse ka case social media par viral hai. Zaid Ali ki maa, influencer Naheed Noor, ne Samiya ko criticize karte hua kaha ke TikTokers paisa aur gifts lete hain aur phir shikayat karte hain, jo haram kamai hai. Internet par reactions mixed hain, kuch log agree karte hain, kuch unko criticize kar rahe hain.
Maulana Fazl-ur-Rehman, Aleema Khanam Ki Touheen Na-Qabil-e-Bardasht

JUI-F ke leader Maulana Fazl-ur-Rehman ne PTI ke founder Imran Khan ki behan Aleema Khanam par press conference ke doran anda phenknay wale incident ki shiddat se muzammat ki. Maulana ne kaha ke ye na-qabil-e-bardasht hai. Police ne do aurton ko giraftar kiya, jo PTI se taluq rakhti hain
Akshay Kumar Ne Punjab Floods Ke Liye 5 Crore Donate Kardiye

Bollywood Actor Akshay Kumar ne Punjab ke flood victims ke liye 5 crore rupees donate kar diye. Unhone kaha ke ye donation nahi, balka “sewa” hai aur jab bhi madad ka mauqa milta hai, wo khud ko lucky samajhte hain. Pehle bhi Chennai floods aur COVID-19 ke doran unhone madad ki. Akshay ki movie Jolly LL.B 3 19 September ko release hogi
ISPR Ne Yom-e-Difa Par Naya Gaana Allah Ho Release Kar Diya

ISPR ne Yom-e-Difa aur Shahada ke mauqe par naya national song “Allah Ho” release kar diya, jisme Sahir Ali Bagga ki awaaz mein army, navy aur air force ki unity, bahaduri aur watan se wafadari ko highlight kiya gaya. Saath hi 6 September 1965 ki jang par nayi documentary bhi release hui, jisme ghaziyon ki kahani unki zubani sunai gayi.
Amir Liaquat Se Bara Showman Pakistan Mein Paida Nahi Hua, Tabish Hashmi

Tabish Hashmi ne eik podcast mein kaha ke Aamir Liaquat se bara showman Pakistan mein paida nahi hua. Unko asli trendsetter qarar dete hua bataya ke unhone apne unique style, zabardast energy se TV py show karne ka andaz hi badal diya. Hashmi ke mutabiq Aamir Liaquat ne entertainment industry ke liye naye standards set kiye.
IHC Ne Dr Aafia Case Ke Liye Bara Bench Banaya

IHC ne Dr Aafia Siddiqui case par 4-member bara bench bana diya hai. Jisme Justice Arbab Muhammad Tahir, Justice Khadim Hussain Soomro, Justice Mohammad Azam Khan aur Justice Raja Inaam Ameen Minhas shamil hain. Bench Dr Fowzia Siddiqui ki behan ki sehat aur wapas laane ki petition 10 September ko sunega. Pehle single bench dissolve ho chuka tha.