Hadiqa Kiani Flood Victims Ke Liye Madad Mein Masroof

Pakistani singer aur actress Hadiqa Kiani phir se flood affectees ke liye field mein nikal aayi! 🌊 2005 earthquake ke baad bacha adopt karne aur 2022 mein villages aur mosques banwane ke baad, ab wo Kasur aur dusre areas visit kar rahi hain. First aid, zaroori samaan aur apni shopping tak khud kar rahi hain. Fans kehte hain: “Huge respect, Allah bless her!”

Bangladesh Ne Pakistani Students Ke Liye 500 Scholarships Announce Kar Di!

Bangladesh ne Pakistani students ke liye 500 scholarships announce kar di! Lahore mein Punjab CM Maryam Nawaz Sharif aur Bangladesh ke Religious Affairs Minister Dr. Khalid Hussain ke meeting mein ye faisla hua. Nawaz Sharif aur Bangladesh High Commissioner bhi maujood. Scholarships ke sath dono mulkon ne green energy, agriculture aur social welfare mein collaboration mazboot karne ka wada kiya.

Samiya Hijab Kidnapping Case Mein Hassan Zahid Ky Liye Nayi Pareshaniya

TikToker Samiya Hijab kidnapping case mein mulzim Hassan Zahid ki bail reject, court ne usay jail bhej diya judicial remand par. Dusre case mein 2 din ka physical remand mila jahan se mobile, gari aur asla baramad karna hai. Ab tak Rs45,000 recovery hua, magar police kehti hai Zahid ke saathi abhi farar hain.

Ghar Ki Bell Bajane Ky Mazak Mein 11 Saal Ka Baccha Goli Lagne Se Mar Gaya

Houston, Texas mein 11 saal ka Julian Guzman ghar ki bell bajane ky mazak mein goli lagne se mar gaya! Raat 11 baje Mimbrao Street par 42 saal ke Leon, jo former soldier aur Texas National Guard ka member hai, ne goliyan chalaein. Julian hospital le jaate waqat dam tor diya. Leon giraftar krlia gaya.

Gym Equipments Mein Toilet Seats Se 362x Zyada Germs Hote Hein

Study Reveal Karta Hai: Gym equipments, jaise dumbbells aur treadmills, toilet seats se 362 times zyada bacteria rakhte hain. Paseena aur frequent touch, saath proper cleaning na hone ki wajah se ye germs ka breeding ground ban jate hain. Gym-goers ko sanitizer, wipes aur towel use karna chahiye taake fitness ke saath hygiene bhi maintain rahe.

Nepal Mein Social Media Ban Ke Khilaaf Protest, 10 Se Zyada Halaak

Nepal ke Kathmandu mein social media ban ke khilaaf protests violent ho gaye: 10 se zyada protesters halak aur 87 zakhmi. Police ne rubber bullets, tear gas aur water cannon use kiya. Protesters corruption aur government ke authoritarian attitude ke khilaaf bhi awaaz utha rahe hain. Curfew laga diya gaya, social media users aur students naraz.

Israeli SC Ka Order, Palestine Qaidiyon Ko Rozana Khana Dena Zaroori Hai

Israeli Supreme Court ne hukumat ko order diya ke saare Palestinian prisoners ko rozana teen meals provide kiye jaayein. Court ne kaha yeh comfort ka masla nahi, balki survival ka haq hai. Conflict ke doran hazaron Palestinians arrest hua, food aur medical shortages report hui. Pakistan ne bhi Israel ke actions ko international law violation qarar diya.

Hazara Motorway Accident: 5 Loug Halak, 2 Zakhmi, Aurtein Bhi Shamil

Hazara Motorway par dumper ne car ko kuchla, 5 log halak hogaye or 2 zakhmi, halak hone walon mein 2 auratein bhi shamil. Bodies Havilian Hospital bheji gayi. Pakistan ke floods mein Jalalpur mein boat capsizing se 5 aur log doob gaye, jin mein bachay aur aurat bhi shamil hain. Mulk bhar mein floods se 800+ halakatein hogayi aur 1.2 million affected hein.

Karachi Mein Tez Barish, Authorities Alert Par

Karachi mein aaj tez barish hogi, Shahrah-e-Faisal, Tariq Road, Saddar aur Safoora Chowrangi mein traffic slow ho sakta hai. Gulshan-e-Iqbal, Nazimabad aur Orangi Town mein bhi barish hogi. PMD ke mutabiq heavy rain expected hai, Tharparkar ke upar deep depression aur Madhya Pradesh se low-pressure system ki wajah se monsoon currents Sindh aur eastern Punjab mein enter ho rahe hain.

Pakistan Aur India Ke Floods Ke Baad Basmati Chawal Mehanga

Pakistan aur India ke severe floods ke baad basmati chawal ki prices barhne ka khatra hai. Punjab aur Haryana ke lakhon acres crops damage hua, Pakistan ke Punjab mein Ravi, Chenab, Sutlej aur Beas rivers ke flood ne bhi chawal aur sabziyan barbaad ki. Supply kam aur demand zyada, isliye basmati mehanga hone ka strong possibility hai.