Schools Me Corporal Punishment Par Government Ka Sakht Action

Islamabad ke schools me corporal punishment ke khilaaf Federal Directorate of Education (FDE) ne sakht action ka circular jari kiya hai. Circular me government, private, religious aur childcare institutions me corporal punishment ban hone ka zikr hai. Violations par legal action aur fines lagaye jayenge. Institutions ko action committees banane aur complaints handle karne ka bhi kaha gaya hai.
Karachi’s Hospital Mein Pehli Baar Knee Cancer Surgery Kamyab

Karachi ke Jinnah Hospital mein doctors ne pehli baar successful knee cancer surgery ki. 26 saal ke patient ka cancer remove kar ke artificial knee implant kiya gaya. Surgery free thi aur patient ab bilkul healthy hai. Ye artificial knee 20-25 saal tak kaam karegi, aur poori team ne 4 ghante ka operation perform kiya.
Lawmakers Ne Social Media Ka Ban Under-15s Py Impose Kardia

France, Bachon Ke Liye Social Media Ban Ka Soch Raha Hai! France ki parliamentary committee ne recommend kiya ke 15 saal se chhote bachon ko social media use karna poori tarah banned ho, aur 15-18 saal ke liye raat 10 baje se 8 baje tak “digital curfew” lagai jaye. TikTok par criminal complaint bhi file ki ja rahi hai for user safety concerns.
Karachi Mein Teen Auratein Churi Se Qatal

Karachi ke Bhittaiabad Mein Teen Auratein Churi Se Qatal! Gulistan-e-Jauhar, Bhittaiabad mein teen auratein Meena, Aashi, Dania ghar ke andar churi se qatal kar di gayi. Do log, Ajay (maternal uncle) aur chhoti ladki Nandini zakhmi hue, hospital bheje gaye. Police ne evidence collect kiya aur Sindh Home Minister ne transparent investigation aur guilty ko saza dene ka order diya.
Dou Goods Train Takra Gayin, Driver Bhi Halak Hogaya

Renala Khurd, Okara mein do maal trains takra gayin, jisme Assistant Driver Imtiaz ki maut ho gayi. Eastern Bypass par kuch railcars repair ke liye detach the, doosri train unmein takra gayi. Kai coaches derail ho gaye. Railways Minister Muhammad Hanif Abbasi ne 3 din mein inquiry aur strict action ka order diya. Relief train Lahore se bheji gayi.
CM Sindh, Flood Crisis Ka Hal Qaumi Ittehad Se Mumkin Hai

Sindh CM Murad Ali Shah ne kaha ke flood crisis ka samna sirf qaumi ittehad se mumkin hai. Quaid-e-Azam ki barsi par media se guftagu mein unhon ne constructive criticism ki appeal ki. CM ne Saadi Town ka daura kar ke relief ka wada kiya, jabke Bilawal Bhutto ne agriculture aur climate emergency par zor diya.
Karachi Mein Visa Aur Grocery Fraud Gang Pakra Gaya

Karachi mein NCI Agency ne Gulshan-e-Iqbal se eik fraud gang giraftar kar liya jo logon ko visa aur grocery scheme ka jhansa de kar loot raha tha. Gang Telegram/WhatsApp groups se tasks de kar paisay nikalta aur fake bank accounts use karta. Leader Imran urf Boss, Faisal Zafar samait 6 afraad pakray gaye. Tafteesh jari hai.
Lahore CCD Encounter, 3 Daku Apni Firing Se Halak

Lahore mein CCD ka ek aur mubeena encounter! Model Town mein police aur dakuon ke darmiyan firing ke muqablay mein 3 daku Irshad, Ibrahim aur Farooq apne hi saathiyon ki goli se mar gaye, jabke 2 farar ho gaye. CCD ne kaha ke farar mulziman ki talaash mein search operation jari hai.
Karachi Schools Saturday Ko Bhi Khule Rahenge

Karachi ke tamam schools dobara khul gaye jo barsaat aur flooding ki wajah se band the. APSMA Chairman Tariq Shah ne kaha ke ab Saturday ko bhi classes hongi taake academic loss cover ho. Do din ki lagataar barish ne shehar ko shadeed mutasir kiya, ilaqe doobey aur roads block ho gai.
AI Music Licence Launch, Songwriters Aur Composers Ko Haq Mile

Sweden ne AI Music Licence launch kar diya jahan AI companies ab legal taur pe copyrighted songs train karengi aur songwriters, composers ko royalty milegi. Ye system STIM ne introduce kiya jo 1 lakh se zyada creators ko represent karta hai. 2028 tak AI music industry $17 billion tak pohanch sakti hai. Pehla licence Stockholm startup Songfox ko mila.