TikToker Sana Yousuf Murder Case Mein Umar Hayat Indicted

TikToker Sana Yousuf murder case mein bari update accused Umar Hayat formally indicted ho gaya. Judge Muhammad Afzal Majoka ne charges frame kiye lekin Umar Hayat ne not guilty plea dia aur allegations ko fabricated kaha. Case ki next hearing 25 September ko hogi. Sana ko 3 June ko goli maar kar qatal kiya gaya tha.

Mahira Khan, Mawra Hocane Ne Viral “Acha Jee” Trend Mein Hissa Lelia

Viral “Acha Jee” trend ka craze ab celebs tak pohanch gaya! Mahira Khan aur Mawra Hocane ne Karachi ki influencer Samra Shehzadi ka style copy karke social media par dhamaka kar diya. Mahira ne Insta story mein Samra ko tag karke kaha: “Acha jee aisa hai kya?” Fans shocked aur influencer khushi se jhoom uthi.

Karachi Memon Goth Mein 3 Khawaja Sira Goli Se Halaak

Karachi ke Memon Goth, Super Highway ke qareeb se 3 khawaja siraon ki goli lagi laashein baramad ho gayi hain. Rescue team ne kaha sab ko sar, seene aur haathon par goliyaan lagi hain. Police keh rahi hai ke lagta hai wo road par lift ke liye kharay the, aur unknown attackers firing karke farar ho gaye. Investigation jari hai.

Model Abeer Asad Khan Ny Umrah Ka Safar Mukammal Kiya

Pakistani model Abeer Asad Khan ne apna spiritual Umrah safar complete kar liya. Unhon ne social media par Haramain Sharifain ki tasweerein or sath mein apni pictures bhi ziyarat krte hoye share ki jahan wo abaya mein Umrah ada karti hui nazar aayi. Fans ne mubarakbad dete hua unki ibadat ke liye duaen ki.

Katrina Kaif Aur Vicky Kaushal Pehla Baccha Expect Kar Raha Hein

India ke superstars Katrina Kaif (42) aur Vicky Kaushal (37) apna pehla bacha expect kar rahe hain! Reports ke mutabiq Katrina third trimester mein hain aur delivery October ke mid tak expected hai. Official announcement abhi nahi hui, lekin maternity shoot ki viral pics ne fans ko excited kar diya. Couple ne 2021 mein Rajasthan mein shaadi ki thi.

Portugal Nay Palestine Ko Recognize Karlia

Portugal ne announce kiya ke Sunday (Sep 21) ko officially State of Palestine ko recognise karega. Yeh step UN General Assembly se pehle aaya hai jahan Britain, Canada, France aur 10 aur mulk bhi recognition dene ki tayyari mein hain. Israel oppose kar raha hai, lekin Gaza ki humanitarian crisis ne allies ko stance badalne pe majboor kiya.

iPhone 17 Ka Launch, Lambi Lines Aur Shor Sharaba

Beijing ke Sanlitun store ke bahar 300 se zyada log iPhone 17 ke liye line mein. Pro Max (¥9,999/$1,406) sabse popular, new design & long battery life highlight. Apple ka kehna hai screen aur selfie camera bhi improve hain. Analysts expect karte hain China sales 11% upar jayengi. iPhone Air abhi regulatory approval ka wait!

Lahore Police Ne Crimes Predict Karne Ke Liye AI Launch Kia

Lahore Police ne crimes ko predict karne ke liye AI system “Punjab Emergency AI” launch kar diya. PSCA ke mutabiq, yeh system real-time alerts dega robbery, theft aur accident-prone zones ke liye, aur patrol planning behtarein hogi. DIG Faisal Kamran ne kaha ke yeh smart policing se police kaam mein innovation aur precision laaye gi.

OpenAI Ne 18 Saal Se Kam Users Par Istemal Ki Pabandi Laga Di

OpenAI ne 18 saal se kam umar users ke liye nayi pabandiyan laga di. CEO Sam Altman ke mutabiq, safety privacy aur freedom se zyada ahmiyat rakhti hai. Ab ChatGPT na “flirty” baatein karega aur na hi suicide topics par khuli guftagu. Parents ke liye blackout hours ka option bhi introduce hoga.

HPV Vaccine Safe Hai, Cervical Cancer Se Bachao Ka Behtareen Zariya

Cervical cancer se bachao ke liye HPV vaccine kaafi effective hai. Pakistan mein 15 Sept se mulk bhar mein 8 se 14 saal ki bachiyon ko yeh vaccine lagayi ja rahi hai. Dr. Muhammad Khalid Shafi ne kaha ke social media ke afwahein ghalat hain, vaccine ka koi nuksan ya side effect nahi, sirf sooi chubhne ki halki takleef hoti hai.