Abu Dhabi Ki Masjid Ka Tour, Sonakshi Ne Dupatta Odh Liya

Sonakshi Sinha ne Abu Dhabi ki Sheikh Zayed Grand Mosque ka tour kiya aur green-white outfit ke sath dupatta odh kar sab ka dil jeet liya! Deepika ke scarf controversy ke bawajood, fans ne Sonakshi ko praise kiya. Unhone kaha, “Yahan mujhe sukoon mila.” Zaheer Iqbal ke sath video viral, classy aur respectful look!

Priyanka Chopra Ne Nick Jonas Ka Pyara Video Share Kiya

Priyanka Chopra ne eik pyara video share kiya jismein Nick Jonas unke airport par baal banate nazar aaye! Priyanka ne kaha, “Hum airport ja rahe hain, live record kar rahe hain,” jabke Nick multi-tasking kar rahe tha, wife ke baal bana rahe tha aur saath baseball match dekh rahe tha. Priyanka hansi aur boli, “All is well in the world!”

Bollywood Actresses Jinhon Ne Blockbuster Roles Reject Kiya

Bollywood ki top actresses ne wo roles thukra diye jo baad mein superhits ban gaye! Kangana Ranaut ko Sultan aur Bajrangi Bhaijaan jaise bade projects offer hua, lekin unhone creative challenge ke liye mana kar diya. Yeh films blockbusters hui, magar Kangana ka faisla dikhata hai ke kabhi-kabhi “na” kehna bhi eik bold move hota hai!

Rashmika Mandanna Ne Film Se Mutaliq Naya Video Share Kar Diya, Fans Super Excited Hogaye

Rashmika Mandanna ne apni upcoming film The Girlfriend ka naya video share kar ke fans ko excited kar diya! Unhone Instagram par emotional clip post ki, jismein unka Dheekshith Shetty ke saath bond dikhaya gaya hai. Rashmika ne likha, “7 November ko tayyar ho jao ek emotional rollercoaster ke liye!” Fans film ke release ka intezaar nahi kar pa rahe!

Rajab Butt Ne Apni Wife Emaan Ke Saath Masail Ka Izhaar Kar Diya

Rajab Butt ne podcast mein apni wife Emaan ke saath masail par khamoshi tod di! Usne bataya ke unke darmiyan koi bade issues nahi hua, Emaan sirf pregnancy ke doran apne walidain ke ghar thi. Social media ne baat ko hype kiya, lekin ab sab theek hai, Emaan wapas ghar aa gayi hai beta Kivan ke saath!

Imran Hashmi Aur Yami Gautam Ki Film ‘Haq’ Ke Khilaaf Qanooni Notice

Imran Hashmi aur Yami Gautam ki aane wali film “Haq” musibat mein! Shah Bano ki beti Siddiqa Begum ne filmmakers ko legal notice bhej diya ilzaam hai ke film mein unki walida ki zindagi bina ijazat dikhai gayi. 7 din mein jawab talab! Film 7 November 2025 ko release honi hai, direction by Suparn Verma.

Shah Rukh Khan Ne Kaha Tha Shadi Mat Karna, Smriti Irani

Indian politician aur ex-actress Smriti Irani ne khulasa kiya ke Shah Rukh Khan ne unhe pehli mulaqaat mein hansi-mazak mein kaha tha, “Shadi mat karna!” Smriti ne jawab diya, “Bhai, ab toh der ho gayi.” Yeh baat unke husband Zubin Irani ke zariye SRK se milne par hui. Smriti ne apna pehla film shoot SRK aur Juhi Chawla ke sath yaad kiya!

Fawad Khan Aur Mahira Khan Ki Film Neelofar Ki Release Date Ka Elan

Fawad Khan aur Mahira Khan ki much-awaited film Neelofar ki release date aa gayi! Ammar Rasool ki likhi aur direct ki gayi ye romantic film 28 November 2025 ko worldwide release hogi. Mahira eik andhi larki ka kirdar nibha rahi hai, jabke Fawad ne film produce ki hai. Humsafar fans ke liye ye badi khushkhabri hai!