Adakara Zareen Khan Online Harassment Se Pareshan, Shadeed Rad-e-Amal

Bollywood actress Zareen Khan online haraasment se shadeed pareshan! Unhone kaha, jaise hi koi post karti hoon, log gande aur behooda comments karne lagte hain. Zareen ne social media users se poocha, “Yeh chakkar kya hai?” Fans ne unke haq mein awaaz uthai aur trolls ko ignore karne ka mashwara diya

Firdous Jamal Ko Sirf Mutanaza Bayanaat Par Bulaya Jata Hai, Faiza Hassan

Faiza Hassan ne kaha ke Firdous Jamal ko unke kaam ke liye nahi, balke unke mutanaza bayanaat ki wajah se interviews mein bulaya jata hai. Unka kehna tha ke podcasters views aur sasti shohrat ke liye aise sawalat karte hain jo unhe ghussa dilate hain. Faiza ne kaha, “Artists ko kaam ki baat karni chahiye, na ke logon ki zindagi ki.”

Sajal Ali Aur Yasir Hussain Ki Awards Show Mein Nok Jhonk, Video Viral

Sajal Aly aur Yasir Hussain ki award show mein nok jhonk ki video viral! Event ke doran Yasir ne mazeedaar mazaak kia to Sajal ne muskurate hua kaha: “Aapke script ki lines khatam ho gayi hain?” Fans ne mixed reactions diye, kisi ne Sajal ko right kaha, kisi ne moment ko “awkward yet iconic”!

Kangana Ranaut Ka Kehna Hai Unki Journey Shah Rukh Khan Se Zyada Mushkil Thi

Kangana Ranaut ne kaha ke unki journey Shah Rukh Khan se zyada mushkil rahi. Unke mutabiq, SRK Delhi se hain aur convent-educated, jabke woh eik chhote gaon Bhamla se aayi hain jahan logon ne naam bhi nahi suna tha. Kangana boli, “Kisi aur ne gaon se aake itni success nahi paayi.” Unka kehna hai woh sirf “brutally honest” hain.