Gambling App Scandal: Ducky Bhai Ki Darkhwast Zamanat Samat Ke Liye Muqarrar

Gambling App Scandal mein bara mor Ducky Bhai ki bail application Lahore High Court ne sunwai ke liye fix kar di! Case ki hearing 24 November ko hogi. Ducky Bhai 17 August se hirasat mein hain aur un par gambling apps ki promotion ka ilzaam hai. High Court ne dono taraf ke wakeelon ko daleelain pesh karne ka hukum de diya.

Aiman Aur Minal Khan’s Brother Aur Uski Wife Apna First Baby Expect Kar Rahe Hein

Khan Family se bari breaking news! Aiman aur Minal Khan ke bhai aur unki wife ne announce kar diya hai ke woh apna pehla baby expect kar rahe hain. Unka pregnancy shoot social media par dhamaka kar chuka hai, jahan fans unhein mubarakbaad aur pyaar bhej rahe hain. Yeh khushkhabri poori industry mein excitement ka bais ban gayi hai.

‘Miss Mexico Ek Fake Winner Hain’, Sabiq Miss Universe Judge Ka Daawa

Miss Mexico ko “Fake Winner” qarar diya! Former Miss Universe judge Omar Harfouch kehte hain ke Raul Rocha ne Fatima Bouch ko pehle hi winner select kar liya tha, kyunke unke walid se business ties maujood thi. Omar ne final se 24 ghante pehle TV par result predict bhi kar diya tha. Miss Universe 2025 controversy ne global stage par sawal uthaa diye!

Ramsha Khan Ki Old Clip Ne Reveals Kia Ke Unhone Ne Cosmetic Procedures Liye Hein

Ramsha Khan ka purana clip social media par dhoom macha raha hai! 15 saal purani ARY Digital ki footage ne fans ko hila diya, jisme Ramsha “Living on the Edge” mein snake challenge aur Amplifier perform karti nazar aati hain. Log unki badli hui appearance par sawal utha rahe hain Botox, fillers aur cosmetic changes par garam behas jari!

Fiza Ali Apni Beti Ke Libas Par Shadeed Tanqeed Ki Zad Mein

Pakistani actress aur host Fiza Ali phir se social media par tanqeed ka shikar ho gayi hain. Unki beti Faral ke recent reels, jo unke foreign trip ke doran banai gayi, viral hui hain, jismein users ne Faral ke outfit par kadi tanqeed ki. Fiza aur Faral dono ko audience ke harsh comments ka samna karna pada.

Hassan Ahmed Ka Khaufnaak Waqia Ghar Wapsi Par Maafi Bhi Maangi

Pakistani actor aur model Hassan Ahmed ne apni zindagi ke khaufnaak waqia ka zikr kiya. Unka kehna hai ke woh shoot se raat ko wapas aa rahe the jab 5-6 logon ne unhe zabaradasti gaadi mein bitha kar 35 din ke liye bandi banaya. Ghar wapas aane par unhone sab ke paon pakar ke maafi maangi.

Ronit Roy Ne Social Media Se Arzi Tor Par Break Liya

Bollywood ke veteran actor Ronit Roy ne social media se arzi tor par break lene ka elan kar diya. 60 saal ke Ronit ne kaha ke wo apni sehat aur zehni tawazun ke liye kuch waqt tanha guzarne ja rahe hain. Fans aur fellow artists ne unke faisle ki full support ki.

Interviews Ke Liye Bhari Muawza Lene Ki Baat Par Atif Aslam Ne Kya Kaha?

Atif ne fees se mutaliq jawab diya! unhone kaha ke woh ab us maqam par hain jahan har show par jaane ki zaroorat nahi. Jo log kehte hain ke woh bhari fees maangte hain, unka matlab hota hai ke wo Atif ko bulana chahte hain. Atif ne kaha ke unhein izzat Allah ne di hai jiski woh qadar karte hein.

Aamir Khan Ne Apni Shaistagi Aur Khuloos Se Fans Ke Dil Jeet Liye

Bollywood ke Mr. Perfectionist Aamir Khan ne phir se apni shaistagi aur khuloos se fans ke dil jeet liye. Aamir ne achanak apni pehli wife Reena Dutta ki art exhibition mein hosh uda diya, Nehru Center Art Gallery mein. Fans ne dono ke friendly rishton ki tareef ki aur Reena ki painting ko bhi saraha.

Hardik Pandya Se Mangni Ki Afwahon Par Mahika Sharma ne Kya Kaha?

Mahika Sharma ne Hardik Pandya se mangni ki afwahon ka jawab de diya! Social media par unki shiny ring ne fans ko confuse kiya, lekin Mahika ne clear kar diya ke “main bas roz khoobsurat jewelry pehanti hoon.” Usne maze se ye bhi kaha ke agli afwah “pregnancy” ki ho sakti hai. Dono ki romantic posts ne speculation aur barha diya hai.