Bollywood Box Office Ka 90% Data Fake Hai: Divya Khosla

Indian actress aur filmmaker Divya Khosla ne claim kiya hai ke Bollywood box office ka lagbhag 90% data fake hota hai aur corporate bookings ke zariye numbers mein hera pheri ki jati hai. Unhon ne kaha ke awards bhi khareede jate hain aur yeh sab paise aur power ki wajah se hota hai. Is se asli talent aur mehnat ko nuqsan hota hai.
Kiara Advani Beti Ki Pedaish Ke 4 Mahine Baad Manzar-e-Aam Par Aa Gai

Kiara Advani apni beti ki pedaish ke 4 mahine baad public appearance mein nazar aayi. Kiara ne husband Siddharth Malhotra ke saath 15 July ko beti ki pedaish ki thi, jiska naam Saraiyah Malhotra rakha gaya. Unhon ne Instagram par apni kuch photos share ki, jo viral ho gayi hain, aur fans ka kehna hai ke woh kaam par wapas aa gayi hain.
Rajat Fateh Ali Khan Ne Apni Salgirah Manai, Ustad Rahat Fateh Ali Kitne Saal Ke Hogaye?

Ustad Rahat Fateh Ali Khan apni 51 birthday mana rahe hain. 9 December 1974 ko paida hone wale Rahat ne 3 saal ki umar mein Nusrat Fateh Ali Khan se taleem shuru ki. Unhon ne Pakistan aur India ke liye hit gaane diye. Unhe Pride of Performance, Filmfare, IIFA aur Oxford ki honorary PhD bhi mil chuki hai.
Khalil Ur Rehman Qamar Ne Apne Pasandeeda Bollywood Khan Ka Naam Bata Diya

Khalil ur Rehman Qamar ne Bollywood ke teeno Khans mein se apne pasandeeda actors ka naam bata dia. Unhon ne kaha ke woh in mein se kisi ke saath writer ke taur par kaam nahi karna chahte, lekin co-productions hon to producer ke taur par kaam kar sakte hain. Unke mutabiq Aamir Khan aur Shah Rukh Khan unhe zyada pasand hain.
Blockbuster Film ‘3 Idiots’ Ke Sequel Ki Tayyariyan Shuru

Bollywood ki hit film 3 Idiots ka sequel tayyar ho raha hai. Director Rajkumar Hirani ne script finalize kar li hai aur Aamir Khan aur Kareena Kapoor ne project sign kar liya. Reports ke mutabiq shooting agle saal shuru hogi aur puri cast phir saath nazar aayegi. Official announcement abhi tak nahi aayi.
Netizens Hairan Reh Gaye Jab Smriti Mandhana Ne Palash Muchhal Ke Saath Shadi Cancel Kar Di

Indian cricketer Smriti Mandhana ne apne music composer fiancé Palash Muchhal ke saath shadi cancel karne ka elan kiya hai. Ye wedding pehle November 23, 2025 ko hone wali thi, lekin family ki health issues aur phir rumors ki wajah se cancel hui. Dono ne privacy ki darkhwast ki hai, aur fans aur netizens is news se hairan hain.
Sham Idrees Ne Ducky Bhai Ke Liye Support Dikha Di

Sham Idrees ne Ducky Bhai ko jail se release hone ke baad support kiya aur unke YouTube video par comment kiya. Unhone Ducky Bhai ki himmat aur mazbooti ko saraha aur dua ki ke ye tajurba unke liye positive change aur motivational content lane mein madadgar ho. Idrees ne kaha ke kisi koi bhi itna mushkil waqt nahi jhelna chahiye.
Naeema Butt Ne Fans Ko Shock Kar Diya Jab Unki Europe Mein Bollywood Star Nawazuddin Siddiqui Ke Saath Photos Viral Hui

Naeema Butt ki Europe mein Bollywood star Nawazuddin Siddiqui ke saath photos viral ho rahi hain, jo fans mein excitement aur speculation barha rahi hain. Log soch rahe hain ke shayad dono kisi international project par kaam kar rahe hain. Photos social media par tezi se spread ho rahi hain aur netizens dono ki chemistry aur collaboration par comments kar rahe hain.
Mufti Qavi Ka Kehna Hai Ke Unki 18 Saal Purani Shadi Kareena Sei Hui Hai

Mufti Qavi ke latest statement ne social media aur media circles mein discussion aur debate shuru kar di hai. Unhone apni 18 saal purani shadi ka zikr karte hue Bollywood actress Kareena Kapoor ka naam mention kiya aur Dr. Zakir Naik ko witness ke taur par point out kiya. Ye news 2025 ke liye unexpected plot twist sabit hui hai.
Aaj Ke Din Dharam Ji Bohat Yaad Aa Rahay Hain, Kajol Ka Jazbati Paighaam

Kajol Ne Dharam Ji Ki Wafat Ke Baad Unki Pehli Birthday Par Jazbati Paighaam Share Kiya. Unhon Ne Social Media Par Tasveer Lagate Hue Kaha Ke Aaj Dharam Ji Bohat Yaad Aa Rahe Hain Aur Woh Hamesha Hamare Dilon Mein Zinda Rahain Gay. Fans Aur Industry Ne Bhi Unhein Khub Yaad Kiya.