Sarkar Ne Pension Barhana Ki Manzoori De Di

Hukumat ne July 2025 ke baad retire hone walay tamam federal pensioners ke liye pension barhane ka faisla kiya hai. Is izafe mein 2011 se 2024 tak diye gaye paanch ad-hoc allowances shamil hain, jinka total 70% hai. Har pensioner ko barabar faida milega, aur net pension ko base bana kar izafa diya jayega.
Tony Hemming Ne PCB Chief Curator Ki Post Chordi

PCB ke Chief Curator Tony Hemming ne sirf eik saal baad resign kar diya. Wo July 2024 mein aaye tha aur pitch preparation mein naya “greenhouse concept” introduce kiya tha. Hemming ka 40 saal ka tajurba hai aur Ab wo Bangladesh Cricket Board ke saath contract par hain, PCB mein wapas aane ke liye apply bhi kar chuke hain.
Hajj 2026 Ke Liye Dusra Phase 11 August Se Shuru Hoga

Religious Affairs Ministry ne 2026 Hajj ke pehle phase mein 71,000 se zyada applications liye. Doosra phase 11 August se shuru hoga, jismein registered aur unregistered dono apply kar sakte hain. Quota 116,000 pilgrims ka hai. Hajj packages 38-42 ya 20-25 din ke hain, cost 1.15 se 1.25 million tak hai. Passport valid hona aur vaccination zaroori hai.
Punjab Ne 30 Saal Purana Qarz Ada Kar Diya

Punjab hukumat ne Rs675 billion ka purana qarz ada kardiya, jo wheat procurement aur subsidy se related tha. Ye qarz 30 saal purana tha. CM Maryam Nawaz aur team ne is historic repayment ka amal mukammal kiya. Ab rozana Rs250 million sood bachay ga, jo ab public welfare aur taraqqi par kharch hoga. Ye Punjab ki financial stability ke liye bara qadam hai.
Ishaq Dar Ne Visa Process Tez Karne Ka Hukum De Diya

Deputy PM Ishaq Dar ne overseas Pakistanis aur investors ke liye visa process tez karne ke liye nayi guidelines jari kar di hain. Unhone kaha ke red tape kam karni hogi aur digital tools se visa applications jaldi process honge. Visa facilitation se diaspora aur foreign investment ko barhawa milega, jo mulk ki economy ke liye zaroori hai
42% Auraton Mein Gutka Istemaal, Cancer Barhta Ja Raha Hai

Karachi mein 42% auratein gutka paan istemal karti hain, jisse head aur neck cancer barh raha hai. Pakistan mein cancer cases tezi se badh rahe hain, treatment mehanga aur doctors kam hain. Awareness ki kami ki wajah se diagnosis der se hota hai. Sarkar ko strict policies aur health education lana zaroori hai warna masla aur barhega.
Israel Aur Egypt Ke Darmiyan $35 Billion Gas Export Agreement

Israel ke Leviathan gas field ne Egypt ke saath 35 billion dollar ka sabse bada export deal sign kiya hai. Yeh agreement 2026 mein shuru hoga aur 2040 tak chalega. Gas pipeline ke zariye Egypt ko sasti gas milegi, jo uski energy crisis door karegi. Israel ne pehle hi apni gas Egypt aur Jordan ko supply karni shuru kar di hai.
Supreme Court Ne Imran Khan Bail Hearing Fix Kardi

Supreme Court ne Imran Khan ke May 9 dange ke bail pleas ki sunwai 12 August ko fix kar di. Lahore High Court ne pehle bail reject ki thi. Imran Khan ne kaha wo May 9 ko NAB custody mein tha, is liye unka dango se koi talluq nahi. May 9 protests mein PTI workers ne army buildings par hamlay kiye tha.
Pakistani Cricketer Haider Ali Ko Rape Case Mein Bail Mil Gayi

Pakistani cricketer Haider Ali ko Manchester mein rape ke ilzaam mein arrest kar ke bail de di gayi hai. Haider ne ilzaam se inkaar kiya aur kaha wo victim ko achi tarah jaante hain. Incident July 23 ko hua. Pakistan Cricket Board ne unhein investigation tak suspend kar diya hai. Haider ne 35 T20 aur 2 ODI matches khele hain.
NAB Ne 6 Mah Mein 547 Billion Recover Kiye

NAB ne 6 mahina mein Rs 547.31 billion recover kiye, jisme sirf April–June mein Rs 456.3 billion shamil hain. Rs 33.53 billion ke assets wapas diye, 12,611 victims ko paisa mil gai. Islamabad, Sindh aur Punjab mein qeemti zameen bhi recover hui. Saath hi NAB KP ne gold extraction scam ki investigation shuru ki, billions ka nuksan samne aya.