Rohit Shetty Ne 17 Filmein Karne Ke Bawajood Aaj Tak Koi Award Na Jeetnay Par Baat Ki: “Main Sirf Hosting Ke Liye Bulaya Jata Hoon”

Director Rohit Shetty ne khud par mazaahiya tanz karte hue kaha ke 17 filmein karne ke bawajood unhein aaj tak koi award nahi mila. INCA press meet mein Rohit ne kaha ke unka aur awards ka koi rishta nahi, woh sirf hosting ke liye bulaye jaate hain. Saath hi unhon ne North-South cinema divide khatam karne ki baat bhi ki.
Yami Gautam Aanand L. Rai Ki Horror-Comedy “Nayi Naveli” Mein Lead Role Mein Nazar Aa Sakti Hain

Reports ke mutabiq Yami Gautam Aanand L. Rai ki upcoming horror-comedy Nayi Naveli mein lead role mein nazar aayengi. Film abhi pre-production stage mein hai aur yeh Yami aur Rai ka pehla collaboration hoga. Industry rumours ke mutabiq shooting February 2026 se shuru hogi, aur film Indian folklore se inspire ek mix of horror aur comedy offer karegi.
Stranger Things Episode 9 Ke Rumours Netflix Crash Ke Baad Galat Sabit

Netflix crash ke baad Stranger Things ke Episode 9 ke rumours ko debunk kar diya gaya. Fans ne December 31, 2025 ke finale ke baad secret episode hone ki speculation shuru ki thi, lekin yeh sab galat nikla. Social media par logon ne apne vivid dreams aur Tetris Effect experiences share kiye, jabki Netflix originals ki cultural impact ab bhi strong hao.
Pehle Main Apni Umar Se Zyada Badi Lagti Thi: Aina Asif

Aina Asif ne kaha hai ke pehle woh apni asal umar se zyada badi lagti thi, lekin ab 17 saal ki umar mein apni age ki hi lagti hain. Unhon ne bataya ke industry mein kaam ke bawajood log aksar unhein sanjeedgi se nahi lete, jo unke liye mayoos kun hai.
Vicky Kaushal Ne Beta Vihaan Kaushal Aur Fatherhood Par Baat Ki: “Mere Paas Apne Baby Ki Bohat Si Pictures Hain…”

Vicky Kaushal ne kaha ke beta Vihaan ke aane ke baad zindagi bilkul badal gayi hai. Actor ne is ehsaas ko “magical” bataya aur kaha ke ab unke liye har lamha priceless ho gaya hai. Vicky ne yeh bhi kaha ke unke phone mein baby ki itni photos aur videos hain ke ab phone kho jane ka darr lagta hai.
Aamir Khan Ne Bhai Faissal Khan Ke Sath Chalne Wale Ikhtilaf Par Baat Ki: “Apni Family Se Kaun Larr Sakta Hai”

Aamir Khan ne bhai Faissal Khan ke sath chalne wale ikhtilaf par khamoshi tor di. Actor ne kaha ke insaan duniya se larr sakta hai lekin apni family se nahi. Aamir ne Mela ki nakaami ko dono bhaiyon ke liye mushkil daur bataya aur kaha ke film ka fail hona unhein aur Faissal dono ko bohat hurt kar gaya.
Border 2 Ke Gaane Par Acting Ki Tanqeed Par Varun Dhawan Ka Jawab: “Yehi Sawaal Ne Gaana Hit Kar Diya”

Varun Dhawan ne Border 2 ke gaane Ghar Kab Aaoge par ho rahi trolling ka jawab de diya. Social media par acting par tanqeed ke baad Varun ne Instagram comment mein kaha ke isi sawaal ne gaana hit bana diya aur log isse enjoy kar rahe hain. Unke jawab ke baad fans ne unhein full support diya.
Kya Tara Sutaria Aur Veer Pahariya Ka Break-Up Ho Gaya?

Tara Sutaria aur Veer Pahariya ke break-up ki khabrein saamne aa rahi hain. Reports ke mutabiq, lagbhag ek saal dating ke baad dono ne khamoshi se apne raaste alag kar liye hain. Yeh news AP Dhillon concert controversy aur paid PR expose ke kuch hi hafton baad aayi hai. Abhi tak Tara ya Veer ne is par koi official statement nahi di.
Hrithik Roshan Ne Apni Fitness Ka Raaz Bata Diya

Hrithik Roshan ne Instagram par apni fitness ka raaz share kar diya. Unhon ne bataya ke woh har cheez thori thori miqdaar mein aur balance ke sath khatay hain. Unki diet mein sabziyan, protein aur healthy foods shamil hotay hain, jis se unki fitness aur energy barqarar rehti hai.
Emraan Hashmi Ne Customs Ke Sath Apne Scary Tajurbaat Par Khul Kar Baat Ki: “Jab Main Akela Travel Karta Tha…”

Emraan Hashmi ne customs ke sath apne purane scary experiences yaad kiye. Actor ne bataya ke early 2000s mein jab woh akelay travel karte thay to aksar unhein random checking ke liye roka jata tha, shayad earrings ki wajah se. Emraan ne kaha ke ab family ke sath safar karne par yeh profiling bilkul khatam ho gayi hai.