Meri Bahuain Fame Fabiha Apna Birthday Celebrate Karti Nazar Ayein

Meri Bahuain mein Fabiha ka kirdar nibhanay wali actress Rahat Ghani ne apna birthday seaside celebrate kiya. Actress ne beach house par doston ke saath cake cut kiya aur photoshoot bhi karwaya. Is mauqe par woh mint green gown mein bohat khoobsurat nazar aayin, jabke co-actor Ahmad Rafique bhi celebration mein shamil thay.

New York Ke Mayor Zohran Mamdani Wife Ke Sath Naye Ghar Mein Shift Ho Gaye

Newly elected New York Mayor Zohran Mamdani apni wife Rama Duaji ke saath Grace Mansion mein shift ho gaye, jo mayor ki official residence hai. 34 saal ke Mamdani ne Instagram par is move ko “awam ka ghar” qarar diya. Pehle wo Queens ke rent-controlled apartment mein rehte the, ab unka naya ghar 11,000 sq. ft. ka shandar mansion hai.

Kya Talaq Ki Paish Goi Sach Hogi? Hania Aamir Ne Rad-e-Amal Dediya

Pakistani actress Hania Aamir ne apni talaq ki prediction par astrologers ko tanziya jawab diya. Instagram story mein unhone likha, “Ajeeb, pehle shadi to hone do.” Yeh prediction viral TV clip mein aayi thi jahan kaha gaya tha ke agar Hania 2026 mein shadi karti hain to future mein talaq ka samna ho sakta hai. Ab tak koi official confirmation nahi.