Iman Mazari Aur Hadi Ali Ko Tahal Giraftar Nahi Kiya Jasaka

Islamabad ki District & Sessions Court ne controversial tweet case mein Iman Mazari aur Hadi Ali Chatha ko ab tak na giraftar kiye jaane par brhami ka izhar kiya. Aditional District & Sessions Judge Muhammad Afzal Mujwka ne order diya ke aaj 11 bajay tak dono ko giraftar kar ke court mein pesh kiya jaye, aur search warrant liya jaye.
Kya Mrunal Thakur Aur Dhanush 14 February Ko Shadi Karne Wale Hain?

Actress Mrunal Thakur aur Tamil star Dhanush ki 14 February 2026 ko shadi ki khabrein afwaah sabit ho gayi hain. Indian media ke mutabiq dono ke darmiyan dating chal rahi hai lekin shadi ki koi date final nahi hui. Qareebi zarae ka kehna hai ke February mein Mrunal ki films release ho rahi hain is liye shadi filhaal plan mein nahi.
Kangana Ranaut Kehti Hain 2016 Ne Uski Zindagi Living Hell Bana Di, Hrithik Roshan Ke Case Ka Zikar

Kangana Ranaut ne kaha ke 2016 uski zindagi ka sab se mushkil saal tha. Instagram par 2016 ki photos share karte hue ishara diya ke ek colleague ke legal notice ne uski life badal di. Media pressure, court cases aur industry divide ki wajah se success bhi living hell ban gaya aur usay gehra zehni sadma mila tha.
Akshay Kumar Ke Husn-e-Sulook Ne Fans Ke Dil Jeet Liye

Bollywood actor Akshay Kumar ne Mumbai ke municipal elections ke doran ek madad maangne wali ladki ke sath husn-e-sulook kar ke fans ke dil jeet liye. Vote daalne ke baad ladki ne apne waalid ke qarz ka zikar kiya, jis par Akshay ne apni team ko contact details lene ki hidayat di. Video social media par viral ho rahi hai.
Nimra Shahid Ke Shohar Kaun Hain Aur Unki Pehli Mulaqaat Kahan Hui?

Mashhoor actress Nimra Shahid ne bataya ke unke shohar ka naam Zakariya Khan hai aur unki pehli mulaqaat ek film ke set par hui. Nimra ne reveal kiya ke sirf 3 mahine mein Zakariya ne shadi ki offer di. Actress ne kaha ke woh settle hona chahti thin is liye shadi ka faisla kiya.
Drama Mein Atiqa Odho Ke Sath Romantic Manzar Ki Shooting Karwate Hue Bohat Mushkil Pesh Aai: Ayub Khoso

Ayub Khoso ne bataya ke unhein Atiqa Odho ke saath romantic scene ki shooting ke doran bohot mushkil hui. 1990s ke mashhoor drama Dast mein unka kehna tha ke unka aur Atiqa ka romance culture aur director ke poetic vision ki wajah se challenging tha. Ayub ne admit kiya ke wo director se aise scenes avoid karwane ki koshish karte the.
Govinda Ke Affairs Par Ahliya Sunita Ahuja Ki Guftagu

Bollywood ke veteran actor Govinda ki wife Sunita Ahuja ne apne shohar ke alleged affairs par khul kar baat ki. Sunita ne confirm kiya ke unka rishta mazboot hai aur koi talaq ka irada nahi hai, lekin agar shohar ki be-wafai sabit hui to woh maaf nahi karengi. Dono ke do bachay hain aur ab bhi saath rehte hain.
A.R. Rahman Ke Bayan Ne Bollywood Mein Nai Behas Cher Di

Oscar-winning musician A.R. Rahman ne Bollywood mein power balance aur decision-making par apna latest statement diya hai, jisse nayi debate shuru ho gayi. Rahman ke mutabiq ab woh log faisle kar rahe hain jo creative nahi hain. Music industry mein digital platforms aur corporate influence ke badalne se kaam aur opportunities par asar pada hai, lekin Rahman ne pur-sukoon reaction diya.
Shadi Ki Doosri Salgirah Par Shoaib Malik Ka Sana Javed Ke Liye Mohabbat Bhara Paighaam

Shoaib Malik aur Sana Javed ki shadi ko 2 saal mukammal ho gaye. Doosri wedding anniversary par Shoaib Malik ne apni biwi Sana Javed ke liye pyara aur emotional message share kiya. Is ke sath unhon ne kuch tasveerein bhi post ki jo social media par fans ki taraf se kaafi pasand ki ja rahi hain.
Mufti Anas Ne Bollywood Chhorne Ke Liye Brainwash Nahi Kiya, Sana Khan

Former Bollywood actress Sana Khan ne wazeh kar diya hai ke unke shohar Mufti Anas ne unhein Bollywood chhorne ke liye brainwash nahi kiya. Sana ka kehna hai ke yeh unka apna faisla tha kyun ke woh zindagi mein sukoon aur roohani itminan chahti thin. Unhon ne apni secret shadi aur nayi zindagi par bhi khul kar baat ki.