Nora Fatehi Apne New Song Mein Retro Glam Style Se Eik Baar Phir Chah Gayi

Nora Fatehi ne film Thamma ke naye gaane “Dilbar Ki Aankhon Ka” mein retro glam se sab ka dil jeet liya! Song compose kiya Sachin–Jigar ne, lyrics Amitabh Bhattacharya ke aur gaaya Rashmeet Kaur ne. Nora ne kaha yeh gaana “thrilling aur explosive” hai! Thamma 21 October ko cinemas mein release hogi!

Javeria Saud Ka Kai Fans Ko Thappad Marne Ka Aitraaf

Actress Javeria Saud ne hairaan kun inkishaaf kar diya! Unhone kaha ke career ke shuru mein unhone kai deewane fans ko Thappad maare! Eik program mein Javeria ne bataya ke eik fan roz ghar ke bahar gifts laata tha, lekin jab usne haraas kiya to Javeria ne usey thappar maar kar sabak sikha diya!

Priyanka Chopra Aur Zakir Khan Ka New York Mein Sath Lunch, Pictures Viral

Priyanka Chopra ne New York mein comedian Zakir Khan ke saath lunch kiya! Priyanka ne Instagram par Zakir ko “kind, funny aur creative” kaha aur likha, “So happy to know you.” Zakir ne photo share karte hua likha, “Lunch with the queen herself.” Yeh meeting unke U.S. stay ke doran hui jab Zakir apne sold-out MSG tour par the!

Bigg Boss Achanak Band, Studio Seal Kar Diya Gaya

Karnataka mein reality show Bigg Boss Kannada Season 12 ko achanak band kar diya gaya! Sarkar ne Jolly Wood Studios ko seal karte hua sab contestants ko turant ghar khali karne ka hukum diya. KSPCB ne ilzaam lagaya ke studio ne environmental rules tod diye aur bina permit ke kaam kar raha tha. 5 crore ka set ab band!

Sushmita Sen Ke Fans Nay Kaha Woh Ramp Par Aishwarya Rai Se Bhi Behtar Hain

Bombay Times Fashion Week mein Sushmita Sen ne ramp par dhamaka kar diya! Black aur golden lehenga-choli mein unhone sabka dil jeet liya. Fans ne unki walk ko Aishwarya Rai se “kahin behtar” kaha, jabke Kangana Ranaut ko “first runner-up” bata diya. Social media par Sushmita ko “undisputed ramp queen” kaha ja raha hai!