“Aag Lagay Basti Mein” Ke Reviews Samne Aa Gaye!

Fahad Mustafa Aur Mahira Khan Ki Film ‘Aag Lagay Basti Mein’ Ne Box Office Par Dhoom Machadi Hai. Eid-ul-Fitr Par Release Hone Wali Is Film Ne Pehle Weekend Mein Taqreeban 10 Se 12 Crore PKR Ka Business Kiya. Fans Jahan Iski Cinematography Aur Direction Ki Tareef Kar Rahe Hain, Wahin Kuch Ne Double Meaning Jokes Par Tanqeed Bhi Ki Hai.

Rahim Pardesi Ki Eid Pictures Se Pehli Biwi Gayab, Fans Ne Sawalaat Ki Bochhaar Kar Di

Mashhoor YouTuber Rahim Pardesi Ki Eid Pictures Mein Unki Pehli Begum Ki Ghair-Maujoodgi Ne Fans Ko Pareshan Kar Diya Hai. Do Shadiyan Karne Walay Rahim Ne Is Baar Sirf Aik Hi Family Ke Saath Tasaveer Share Ki, Jis Par Netizens Sawalaat Utha Rahe Hain. Log Jan-na Chahte Hain Ke Unki Pehli Biwi Kahan Hain Aur Kya Dono Ke Darmiyan Sab Theek Hai.

“Duniya Gham Mein Ho To Eid Nahi Manati”: Resham Ke Bayan Par Behas Tez

Mashhoor Actress Resham Ne Eid Ke Hawale Se Aik Herat-Angaiz Bayan Dekar Nayi Behas Cheerdi Hai. Unhon Ne Kaha Ke Jab Duniya Ghum Aur Mushkilaat Mein Ho, To Wo Eid Nahi Manati Hain. Is Bayan Par Social Media Sarfeen Do Groups Mein Taqseem Hogaye; Kuch Unki Himayat Kar Rahe Hain Jabke Kuch Isay Mahaiz Adakaari Qarar De Rahe Hain.

Kya Fiza Ali Ke Shohar Pehle Se Shadi Shuda Aur Chaar Bachon Ke Baap Hain?

Fiza Ali Ki Teesri Shadi Ne Social Media Par Naya Hangama Khara Kar Diya Hai. Eid Par Apne Shohar Ejaz Ke Saath Tasaveer Share Karte Hue Unhon Ne Apni Umar 41 Saal Batayi, Jis Par Fans Ne Hairat Ka Izhaar Kiya. Netizens Ne Na Sirf Unki Umar Par Sawalaat Uthaye Balke Yeh Daawa Bhi Kiya Ke Unke Shohar Pehle Se Shadi Shuda Hain.

Shiraz Aur Muskan Apne Gaon Ke Bachon Ke Liye Eidi Lay Aaye

Mashhoor child vloggers Shiraz aur Muskan ne apni kamyabi aur khushiyan apne gaon ke bachon ke sath baant di hain. Karachi se wapas apne gaon pohanch kar dono behan bhai ne wahan ke bachon ke liye dheron ‘Eidi’ aur tohfay taqseem kiye. Social media par unki is pur-khuloos koshish aur apne roots se jurray rehne ki kafi tareef ho rahi hai.

Maulana Sahab Ne Danish Taimoor Ke Liye Khushkhabri Ki Peshangoi Kar Di

Danish Taimoor ke liye Ramadan transmission mein Maulana Sahab ne aik barri khushkhabri ki peshangoi kar di. Aik viral BTS video mein Maulana Sahab ko Danish se ye kehte suna gaya ke unhein jald hi koi bohot achi khabar milne wali hai. Is khabar ne fans ko khush kar diya hai aur ab log andazay laga rahe hai.

Meri Iftari Raat 12 Bajay Tak Chalti Rehti Hai: Nazish Jahangir

Mashhoor actress Nazish Jahangir ne Ramadan transmission mein apni hairan kun iftar routine share ki hai. Unhon ne bataya ke unki iftari ka silsila aksar raat 12 baje tak chalta rehta hai. Is anokhay schedule ki wajah se social media par kafi charcha ho rahi hai ke itni dair tak iftari kaise chal sakti hai.