Priyanka Chopra Aur Zakir Khan Ka New York Mein Sath Lunch, Pictures Viral

Priyanka Chopra ne New York mein comedian Zakir Khan ke saath lunch kiya! Priyanka ne Instagram par Zakir ko “kind, funny aur creative” kaha aur likha, “So happy to know you.” Zakir ne photo share karte hua likha, “Lunch with the queen herself.” Yeh meeting unke U.S. stay ke doran hui jab Zakir apne sold-out MSG tour par the!

Bigg Boss Achanak Band, Studio Seal Kar Diya Gaya

Karnataka mein reality show Bigg Boss Kannada Season 12 ko achanak band kar diya gaya! Sarkar ne Jolly Wood Studios ko seal karte hua sab contestants ko turant ghar khali karne ka hukum diya. KSPCB ne ilzaam lagaya ke studio ne environmental rules tod diye aur bina permit ke kaam kar raha tha. 5 crore ka set ab band!

Sushmita Sen Ke Fans Nay Kaha Woh Ramp Par Aishwarya Rai Se Bhi Behtar Hain

Bombay Times Fashion Week mein Sushmita Sen ne ramp par dhamaka kar diya! Black aur golden lehenga-choli mein unhone sabka dil jeet liya. Fans ne unki walk ko Aishwarya Rai se “kahin behtar” kaha, jabke Kangana Ranaut ko “first runner-up” bata diya. Social media par Sushmita ko “undisputed ramp queen” kaha ja raha hai!

Adakara Ko Harass Karne Wala Indian Film Director Giraftar

Indian film director B.I. Hemant Kumar ko actress ko sexually harass, blackmail aur fraud karne ke ilzaam mein Bangalore mein arrest kar liya gaya! Actress Ahana Kumra ne shikayat mein bataya ke 2022 mein Hemant Kumar ne film ka central role offer karte hue 2 lakh rupees aur 60 hazar advance ka wada kiya tha. Police ne mukadma darj kar liya.

Ali Fazal Aur Richa Chadha Ne Apni Shaadi Ki Anniversary Celebrate Ki.

Ali Fazal aur Richa Chadha ne apni shaadi ki anniversary dhum dhaam se celebrate ki! Party mein Hrithik Roshan, Vicky Kaushal, Manoj Bajpayee, Saba Azad, Tabu aur Vishal Bhardwaj jaise stars shamil hua. Richa ne post mein likha, “Happy anniversary Ali! Zindagi tumhare saath har tarah se behtar hai.”