3 Naye Polio Cases Report, Total Tadaad 17 Tak Pohanch Gai

(National Institute of Health) NIH ne confirm kiya hai ke 3 naye polio cases samne aaye hain jo Lakki Marwat, North Waziristan aur Umerkot se report hue hain. Mulk bhar mein polio cases ki total tadaad ab 17 ho chuki hai. Ab tak 10 cases Khyber Pakhtunkhwa, 5 Sindh, aur eik, eik case Punjab aur Gilgit-Baltistan se report ho chuka hai.
Sahiwal Mein 3 Robbers Apne Hi Sathiyon Ki Goli Se Maray Gaye

Sahiwal mein (CCD) aur robbers ke darmiyan firing ka tabadla hua jisme 3 robbers halak ho gaye. CCD ke mutabiq, police ne eik mashkook gaari roknay ki koshish ki tou robbers ne firing shuru kar di. Halak hone walay robbers apne hi sathiyon ki goli se maray gaye. Tino robbers sangeen jurm mein mulawis thay, jin mein robbery aur street crime bhi shamil tha.
27 June Currency Rates in Pakistan PKR Exchange Rates

Aaj 27 July 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 285.50 PKR, Euro 335 PKR, British Pound 385 PKR, UAE Dirham 77.60 PKR, Saudi Riyal 75.95 PKR, Kuwaiti Dinar 920 PKR, Canadian Dollar 207.5 PKR, Australian Dollar 186 PKR, Malaysian Ringgit 66.74 PKR, Swiss Franc 352.88 PKR, Indian Rupee 3.22 PKR.
Asia Cup 2025, Pak-Bharat Match Kab Hoga Schedule Ka Elan

Asia Cup 2025 ka schedule jari kar diya gaya hai. Pakistan aur India ka match 14 September ko hoga. Group A mein Pakistan, India, UAE aur Oman shamil hain, jabke Group B mein Sri Lanka, Bangladesh, Afghanistan aur Hong Kong shamil hain. Pehla match 9 September ko hoga. Super Four marhala ka aaghaz 20 September se hoga aur final 28 September ko khela jaye ga.
Gold Ki Qeematon Mein Musalsal Teesray Din Bhi Kami

Pakistan aur dunya bhar mein gold ki qeematon mein ajj bhi kami dekhi gai, Pakistan mein 24 karat Gold ka eik tola 300 rupay sasta hokar 356,400 rupay ka hogaya hai, jabke 10 gram Gold ki qeemat 257 rupay kam hokar 305,555 rupay par aagayi hai. Dunya bhar mein bhi kami dekhi gai hai, jahan eik ounce Gold ki qeemat 3 dollar se gir kar 3,337 dollar hogai hai.
Senate Intikhabaat Mein Kamyabi Par Mubarakbaad

Wazeer-e-Azam Shahbaz Sharif se Senator Hafiz Abdul Kareem ne Islamabad mein mulaqaat ki. PM ne unhein haliya Senate intikhabaat mein kamyabi par mubarak baad di aur umeed ka izhar kiya ke woh qanoon saazi mein apna muasar kirdar ada karenge. Hafiz Abdul Kareem ne Muslim League (N) ke aetmaad par Wazeer-e-Azam ka shukriya ada kiya.
Rabeeca Aur Hussain Eik Baar Phir Tanqeed Ka Shikaar

Rabeeca Khan aur Hussain Tareen ne hal hi mein Umrah kiya aur Instagram par kuch tasveerain share ki. Kuch followers ne positive comments diye, lekin zyada tar ne trip ko content ka naam deya. Eik ne likha: “inka to shoot chal raha hai yahan bhi,” doosra ka kehna hai ke : “Waah kia shoot hai bhaaai sharam karle!”.
Mahira Khan Ki Khamoshi Love Guru Ki Kamyabi Ke Baad Achanak Gayab

Mashhoor actress Mahira Khan ne Instagram par apni aakhri post 27 June ko ki thi, jiske baad wo social media se bilkul gayab se hain. Kuch mahina pehle unki film Love Guru ne shandaar kamyabi hasil ki aur fans ne unki acting ko be panah pasand kiya. Ab unki khamoshi ne unke chahnay walon ko fikr mein daal diya hai.
Driver Ko Ongh Aane Se 2 Afraad Jaan Bahaq 17 Zakhmi

Sadiqabad se Lahore jane wali bus Multan ke qareeb us waqt hadsay ka shikar hui jab driver ko achanak ongh aayi aur bus motorway se neechay utar gayi. Sher Shah Interchange Motorway par hue is hadsay mein 2 musafir jaan bahaq aur 17 zakhmi hue, Motorway Police ne rescue karke zakhmiyon ko qareebi hospital muntaqil kiya.
26 July Currency Rates in Pakistan PKR Exchange Rates

Aaj 26 July 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 285.50 PKR, Euro 335 PKR, British Pound 385 PKR, UAE Dirham 77.60 PKR, Saudi Riyal 75.95 PKR, Kuwaiti Dinar 920 PKR, Canadian Dollar 207.5 PKR, Australian Dollar 186 PKR, Malaysian Ringgit 66.74 PKR, Swiss Franc 352.88 PKR, Indian Rupee 3.22 PKR.