22 July Currency Rates in Pakistan PKR Exchange Rates

Aaj 22 July 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 288.30 PKR, Euro 334.40 PKR, British Pound 386.40 PKR, UAE Dirham 78.50 PKR, Saudi Riyal 76.75 PKR, Kuwaiti Dinar 931.70 PKR, Canadian Dollar 210.40 PKR, Australian Dollar 185.90 PKR, Malaysian Ringgit 66.40 PKR, Swiss Franc 352.88 PKR, Indian Rupee 3.22 PKR.
Pak Bhar Mein Mosam Ki Taaza Soorat E Haal

Pakistan ke shahron ki taaza mosam ke soorat-e-haal ke mutabiq is waqt kahin darja hararat 38°C tak pohanch gaya hai aur kahin 31°C tak hai. Multan mein is waqt darja hararat 38°C hai, Peshawar 37°C, Faisalabad 36°C aur Hyderabad mein darja hararat 35°C hai. Gujranwala aur Lahore 32°C, jabke Karachi, Quetta, mein bhi 32°C aur Islamabad ka darja hararat 31°C hai.
WaterTanker Ki Wajah Se Eik Our Biker Halaak

Karachi ke ilaqe Manghopir mein water tanker ki takkar se motorcycle sawaar jaan bahaq ho gaya. Hadsa ek masroof chowk ke qareeb hua jab tezi se aata tanker bike se takra gaya. Eyewitnesses ke mutabiq takkar intehai shadeed thi ke motorcycle sawaar usi waqt jaan bahaq hogaya. Tanker zabt kar liya gaya hai, jabke driver farar hai, jiske talaash jari hai.
Dr Aafia Siddiqui Case, Contempt Of Court

Islamabad High Court ne Dr Aafia Siddiqui ki Rehayi aur wapsi ke case mein federal cabinet ko contempt of court ka show cause notice jari kar diya. Justice Sardar Ejaz Ishaq ne report pesh na karne par notice jari kiya. Adalat ne kaha ke chuttiyan khatam hone ke baad pehle working day par agli samaat hogi.
Property Ke Leya Behan Ne Bhai Ko Maar Diya

Karachi, Shahrah-e-Quaid mein jaidaad ke tanaza par behan Amina ne apne 40 saala bhai Somar ko danda maar kar qatal kar diya. Police ne chand ghanton mein mulzima ko giraftar kar ke aala-e-qatl bhi baramad kar liya. Amina ne iqraar kiya ke dono behan bhaiyon ke darmiyan jaidaad ke maamlay par kaafi arsay se jhagra chal raha tha.
21 July Currency Rates in Pakistan PKR Exchange Rates

Aaj 21 July 2025 ko Pakistan Open Market mein mukhtalif mumalik ki currencies ke buy rates kuch is tarah hain: U.S. Dollar 288.20 PKR, Euro 334.40 PKR, British Pound 386.40 PKR, UAE Dirham 78.50 PKR, Saudi Riyal 76.75 PKR, Kuwaiti Dinar 931.70 PKR, Canadian Dollar 210.40 PKR, Australian Dollar 185.90 PKR, Malaysian Ringgit 66.40 PKR, Swiss Franc 352.88 PKR, Indian Rupee 3.22 PKR.
Kia Aam Khane Se Skin Behtar Hoti Hai?

Aam ko phalon ka badshah aesa he nhi kaha jata hai. is mein nutrients ka khazana chhupa hota hai. Yeh vitamin C, A aur fiber se bharpoor hota hai jo immune system mazboot banata hai. Skin ko chamakdaar karta hai aur ankhon ki roshni ke leya bohat acha hai. Is mein antioxidants hote hain jo cancer se bachao mein madadgar hain.
Indian Director Chandra Barot Passes Away

Mashhoor film 1978 mein release Don ke director Chandra Barot 86 saal ki umar mein wafat pa gaye. Unki biwi Deepa Barot ke mutabiq woh 7 saal se pulmonary fibrosis ka shikar tha. Chandra Barot ka ilaaj Guru Nanak Hospital mein ho raha tha. Farhan Akhtar ne unki wafat par afsos ka izhar kiya.
Pak Bhar Mein Mosam Ki Taaza Soorat E Haal

Pakistan ke mukhtalif shahron mein garmi ka raj barqarar hai. Peshawar sabse zyada garam raha jahan darja hararat 38°C tak pohanch gaya. Multan 36°C, Lahore, Faisalabad aur Gujranwala 34°C par rahe. Sialkot aur Hyderabad 33°C, jabke Karachi aur Islamabad mein 32°C record hua. Quetta ka mosam thanda raha jahan darja hararat 29°C raha.
Punjab Mein Barishon Se 135 Halaak, 479 Zakhmi

PDMA ne monsoon factsheet jari ki hai jisme 135 afraad halaak hua, 479 zakhmi hua aur 156 ghar tabah honay ki tafseel di gayi hai. Zyada halakatain chhat girnay, bijli girnay aur doobnay se hui hai. DG PDMA ke mutabiq Lahore, Sialkot, Faisalabad aur Gujranwala mein flooding ke risk ke chalte city administrations ko alert kar diya gaya hai.